Ghazals | غزلیں


English اردو


zaKhm-e-dil rashk-e-mah-o-Ghairat-e-Khursheed naheeN
zaKhm-e-dil rashk-e-mah-o-Ghairat-e-Khursheed naheeN
ph`ir bh`ee maiN us kee saHar-taabee se naumeed naheeN

beniyaazee ne tiree raaz yeh kh`olaa mujh par
"t^aalib-e-deed to hooN mustaHiq-e-deed naheeN"

aap hee naam bataaYeN miree iss Haalat kaa
maut aatee naheeN aur zeest kee ummeed naheeN

voh Ghazal kyaa jo Gham-e-i'shq se mansoob nah ho
she'r kyaa jis ko tire Husn kee taayeed naheeN!

hai vohee aik Khayaal, aik hee dil hai meraa
ph`ir bh`ee dunyaa yeh samajh`tee hai yeh tauHeed naheeN!

apne Haalaat zamaane ko bataa,ooN kyoN-kar?
apne Haalaat se maiN Khud bh`ee pur-ummeed naheeN

abr kee barhamee t^oofaaN kaa patah detee hai
yeh taGhaaful bh`ee judaayee kee to tamheed naheeN?

kuch` to dunyaa meN suKhanwar naheeN aise baaqee
aur :Sarwar: bh`ee idh`ar bandah-e-taqleed naheeN