Ghazals | غزلیں


English اردو


raah-o-rasm-e-ulfat meN kuchh kamee see lagtee hai
Ghazal

raah-o-rasm-e-ulfat meN kuchh kamee see lagtee hai
warnah kyoN lagee dil kee dil-lagee see lagtee hai!

be-Khudee ke parde meN aagahee see lagtee hai
dekhtaa hooN jo Soorat, aap hee see lagtee hai!

yaad ke jharokoN se boo-e-yaar aatee hai
teeragee-e-shab meN bhee chaaNdnee see lagtee hai!

koochah-e-nigaaraaN se jab hawaa-e-aawaarah
gungunaatee aatee hai,sar-phiree see lagtee hai!

kyaa yehee muHabbat hai, gar naheeN to phir kyaa hai?
be-kalee see lagtee thee, be-kalee see lagtee hai!

ek yaad aatee hai, ek yaad jaatee hai
"boltee huyee har soo Khaamashee see lagtee hai!"

apne shehr meN akcar raah bhool jaataa hooN
har galee mujhe apnee baa,olee see lagtee hai!

kis qadar Khamoshee hai aaKhir-e-shab-e-hijraaN!
HasratoN kee yeh hichkee aaKhiree see lagtee hai!

aah! is muHabbat meN kyaa maqaam aayaa hai!
Khud ko apnee Soorat bhee ajnabee see lagtee hai!

koyee kyaa sune "Sarwar" teree daastaan-e-Gham
baat jo bhee kartaa hai, shaa,i'ree see lagtee hai!
========================