Ghazals | غزلیں


English اردو


koyee qaZ^aa ise samjh`e, koyee balaa jaane
koyee qaZ^aa ise samjh`e, koyee balaa jaane
nah kee ho jis ne muHabbat bh`alaa voh kyaa jaane!

jo ik naz^ar ko tiree aap se sivaa jaane
shab-e-firaaq bh`ee voh vaSl kaa mazaa jaane

nah aarzoo, na tamannaa, na Hasrat-o-ummeed
dil-e-Ghareeb ko kyaa ho gayaa Khudaa jaane

voh jis kee u'mr talaash-e-sukooN meN guZree ho
bataa,o kaise nah her saaNs ko sazaa jaane?

kaheeN kaheeN se kitaab-e-Hayaat dekh`ee hai
vohee paRh`e ise jo Khud ko baa-Khudaa jaane!

udh`ar zamaanah keh rusvaayee se Daraataa hai
idh`ar yeh dil keh Gham-e-i'shq ko Khudaa jaane

kisee kee yaad ke saaYe meN th`ak ke beTh`aa hooN
yeh saaya jis ko mayassar ho aur kyaa jaane?

huaa hai aisaa giriftaar-e-aarzoo :Sarwar:
nah ibtidaa kee Khabar hai nah intihaa jaane!