Ghazals | غزلیں


English اردو


koyee bataaYe yeh kaisaa Gham-e-judaayee hai
koyee bataaYe yeh kaisaa Gham-e-judaayee hai
voh paas baiTh`e haiN or yaad un kee aayee hai!

miraa naSeeb! mujh`e gh`ar kee raah yaad naheeN
miree aseeree se baRh` kar miree rihaayee hai!

kabh`ee yaqeen kee Soorat, kabh`ee gumaaN kee t^araH
mai-e-Kharaab mujh`e zeest ne pilaayee hai!

mujh`e mile to mile kis t^araH sukoon-e-dil?
idh`ar hai dard-e-muHabbat, udh`ar Khudaayee hai!

hujoom-e-Gham meN hooN majboor muskuraane par
KhizaaN ko dekh`iYe kaisee bahaar laayee hai!

ilaahee! kyoN miree her lamHah aazmaa,ish hai?
tiree banaayee huyee shai meN kyaa buraayee hai?

Khudaa kaa shukr karooN yaa tiree duhaayee dooN?
miree vafaa kaa sila Sirf jag-haNsaayee hai!

hai jiss Khayaal meN maSroof roz-o-shab :Sarwar:
voh yaad bh`ee to usee kee t^araH paraayee hai!