Ghazals | غزلیں


English اردو


Khirman-e-ummeed naz^r-e-aah-e-sozaaN ho gayaa! **
Khirman-e-ummeed naz^r-e-aah-e-sozaaN ho gayaa!
jaan se jaanaa hameN, yooN kahiye! aasaaN ho gayaa!

ho gayaa dil ko ta,a'lluq aap se haaN! ho gayaa
dard-e-jaan-e-naatawaaN Khud apnaa darmaaN ho gayaa

i'shq ham ko Z^aamin-e-i'rfaan-e-yazdaaN ho gayaa
baRh` gayaa jab kufr Had se, aSl-e-eemaaN ho gayaa!

tere aate hee a'jab kyaa Soorat-e-dil ho gayee
shehr yeh aisaa basaa, baste hee weeraaN ho gayaa!

gh`ar hamaaaa luT gayaa, achh`aa huwaa, achh`aa huwaa!
be-sar-o-saamaaN huwe, jeene kaa saamaaN ho gayaa!

aarzoo-e-waSl, shauq-e-deed, ummeed-e-wafaa
in kaa jaanaa th`aa ke dil shehr-e-KhamoshaaN ho gayaa

shukriyah ai jaZbah-e-Khushkaam! teraa shukriyah!
har taSawwur Soorat-e-taSweer-e-jaanaaN ho gayaa

uljh`aneN is zindagee kee dard-e-sar ho kar raheeN
in kaa suljh`aanaa Kham-e-zulf-e-pareshaaN ho gayaa!

muddatoN se naa-muraad-e-aagahee th`aa aadamee
tap gayaa jab i'shq kee garmee se, insaaN ho gayaa!

soo-e-masjid jaa rahaa hai maikadeh se dekh`naa!
kyaa Khudaa-naa-Khwaastah "Sarwar" musalmaaN ho gayaa?