Ghazals | غزلیں


English اردو


u'mr bh`ar royaa kiYe, naa-kaamiyaaN dekh`aa kiYe
u'mr bh`ar royaa kiYe, naa-kaamiyaaN dekh`aa kiYe
kaisee kaisee i'shq meN rusvaa,iyaaN dekh`aa kiYe!

apnee majbooree, tiree ra'naa,iyaaN dekh`aa kiYe
ham zameeN vaale faraaz-e-aasmaaN dekh`aa kiYe!

ek dunyaa muntaz^ir th`ee inqilaab-e-dehr kee
ek ham hee th`e, tiree aNgRaa,iyaaN dekh`aa kiYe!

ashk-e-Gham Tapkaa kiye bechaargee se aur ham
daaman-e-ummeed kee nai-raNgiyaaN dekh`aa kiye

yeh naheeN dekh`aa kisee ne raNj-o-Gham hai kis liYe!
ahl-e-dunyaa Sirf aNdaaz-e-fuGhaaN dekh`aa kiYe!

log Haalat ko hamaaree dekh` kar haNste rahe
aur ham teree t^araf, ai jaan-e-jaaN!, dekh`aa kiYe!

mu'jizah hai yeh keh hai deevaanagee, ham kyaa kaheN?
voh naz^ar aaYe vaheeN par, ham jahaaN dekh`aa kiYe!

koyee din jaataa hai meHfil meN bikh`ar jaa,ooN gaa maiN
aap gar meree t^araf yooN hee vahaaN dekh`aa kiYe!

dekh`ne kee cheez haiN ahl-e-Khirad kee kaavisheN
i'shq meN yeh Khush-gumaaN, sood-o-ziyaaN dekh`aa kiYe!

she'r meN :Sarwar: ke Haal-e-dard-e-dil th`aa, aur log
bandisheN parkh`aa kiYe, t^arz-e-bayaaN dekh`aa kiYe!