Articles | ادبی مضامین


English اردو


Urdu meN A'tafee Taraakeeb (Ek Dilchasp Sawaal)
URDU MEN A'TAFEE TARAAKEEB
(Ek Dilchasp Sawaal)

internet kee Urdu meHfiloN meN ek kaceer ta'daad aise Urdu-dost logoN kee hai jo she'r-o-adab kee dunyaa meN nisbata" nau-waarid haiN aur jin kee she'ree-o-adabee tarbiyat muKhtalif maraaHil se guzar rahee hai. in meN se kuchh woh haiN jin kee maadaree zabaan Urdu hai. lekin akcariyat aise logoN kee hai jin ke liYe Urdu ek iktisaabee zabaan kaa darjah rakhtee hai. ya'nee unhoN ne Urdu zaatee shauq kee bunyaad par yaa to seekhee hai yaa Roman meN Urdu likh kar apne Zauq kee taskeen karte haiN. aise eHbaab meN Panjabi, Bengali, Marathi, Baloch, Uriya, Telegu aur Hindi sabhee zabaaneN bolne waale log shaamil haiN. in meN Urdu se muHabbat, aur KhaaS t^aur se Ghazal se muHabbat, ek qadr-e-mushtarik hai. yeh apnee jagah sach hai keh pichhlee kuch dahaai,yoN meN Urdu Ghazal kaa mizaaj aur aahaNg kaafee Had tak badal gayaa hai aur maZ^aameen ke e'tibaar se bhee us meN naYe naYe tajribaat ho rahe haiN. phir bhee us ke daaKhilee Husn aur mizaaj meN koyee numaayaaN farq naheeN aayaa hai. chunaan.ch log kaceer ta'daad meN meHfil-e-Ghazal ko garmaane aate haiN aur apne apne andaaz meN daad-e-suKhan dete haiN. Ghazal kee yehee be-panaah maqbooliyat Urdu kee baqaa aur taraqqee kee Z^aamin ho saktee hai.

Urdu kee in meHfiloN meN nau-aamoz aur kam tajribeh-kaar dost sawaalaat uThaayaa karte haiN jin kaa maqSad zabaan-o-bayaan ke baare meN apne shukook door karnaa aur apne i'lm meN iZ^aafah karnaa hai. akcar yeh sawaalaat seedhe-saade aur :saamne ke: hote haiN jin kaa jawaab kuhnah-mashq aSHaab par z^aahir hotaa hai. lekin yeh Z^arooree naheeN hai keh nau-mashq shaa,i'roN par bhee yeh jawaab isee t^araH z^aahir hoN. teHqeeq kaa shauq yooN bhee aaj kal kam ho chalaa hai. phir maGhrabee mumaalik meN kitaaboN, Urdu kutub-KhaanoN aur ahl-e-i'lm kaa fuqdaan bhee teHqeeq kee raah meN Haa,il hai. is liYe Khwaahish hote huwe bhee hameshah teHqeeq karnaa mumkin bhee naheeN hotaa hai. ba-har kaif sawaal-o-jawaab kaa yeh silsilah kisee nah kisee Soorat chaltaa rehtaa hai. zer-e-naz^ar ma'Zmoon aise hee ek sawaal ke baare meN hai.

internet par Haal hee meN ek sawaal kiyaa gayaa hai keh darj-e-Zel miSre' meN kyaa :naaz-e-andaaz: kaa waaHid baaNdhaa jaanaa SaHeeH hai? yaa is ko jama' likhnaa chaahiYe?

":naaz-o-andaaz th~aa kYaa, paikar-e-ra'naaii ka:

ba-yak naz^ar to yeh kahaa jaa saktaa hai keh :naaz-o-andaaz: kaa yahaaN waaHid baaNdhnaa durust hai aur zabaan-o-bayaan kee koyee Kharaabee is meN naheeN hai. phir bhee agar asaatiZah ke kalaam par ek naz^ar Daal lee jaaYe to is sawaal ke kayee pehloo saamne aa sakte haiN. in pehlo,oN kaa mut^aali,a'h dilchaspee se Khaalee naheeN haiN har-chand keh har pehloo TukRaa is sawaal se bilaa-waast^ah waabistah naheeN hai.

(1) Urdu meN :naaz: aur :andaaz: donoN ko waaHid bhee likhaa jaataa hai aur jama' bhee. :naaz: uThaaYe bhee jaate haiN aur :uThaayaa: bhee jaataa hai. yehee Haal :andaaz: kaa hai. yeh ash,a'ar dekheN:

haiN aur bhee dunyaa meN suKhanwar bohat achhe
kehte haiN keh "Ghalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur (Ghalib)

tiraa ai Qais! kyoN kar ho gayaa soz-e-durooN ThanDaa?
keh Lailaa meN to ab tak haiN wohee andaaz-e-Lailaayee (Iqbal)

pehle she'r meN :andaaz: ko waaHid baaNdhaa gayaa hai aur doosre meN jama'

baat dilchasp hai lekin is se zer-e-beHc mas,alah Hal naheeN huwaa! yahaaN to :naaz-o-andaaz: ke baare meN poochhaa jaa rahaa hai jo do alfaaz se waw-e-a't^f ke saath murakkab hai!

(2) aiseee taraakeeb kee teHqeeq karte waqt muHtaat^ rehnaa hotaa hai. ba'Z^ auqaat jo baat ba-yak-naz^ar Saaf hotee hai woh Ghaur karne par kuchh aur hee naz^ar aatee hai. darj-e-Zel she'r dekhiYe:

(a) bohat mushkil hai dunyaa kaa saNwarnaa
tiree zulfoN kaa pech-o-Kham naheeN hai (Fana Kanpuri)

ek naz^ar Daaliye to ma'loom hotaa hai keh :pech-o-Kham naheeN hai: z^aahir kartaa hai keh :pech-o-Kham: waaHid baaNdhaa gayaa hai jab.k aisaa naheeN hai! radeef :naheeN hai: dar-aSl :saNwarnaa: kee t^araf phirtee hai, ya'nee us se muta,a'lliq hai, :pech-o-Kham: se naheeN!

(b) qaid-e-Hayaat-o-band-e-Gham aSl meN donoN ek haiN
maut se pehle aadamee Gham se najaat paaYe kyoN? (Ghalib)

yahaaN bhee :qaid-e-Hayaat-o-band-e-Gham: jama' Z^aroor baaNdhe gaYe haiN aur :donoN: se is kee taSdeeq bhee hotee hai. lekin is se bhee aap ke sawaal kaa Hatamee jawaab naheeN miltaa kyoN.k :donoN: ne yahaaN uljhan paidaa kar dee hai. is kee maujoodagee meN :haiN: kehnaa laazim hai!
-----------------------
agar isaataZah ke kalaam kaa sarsaree jaa,izah leN to donoN qism ke ash,a'ar milte haiN. ya'nee aise bhee jin meN maZkoorah taraakeeb waaHid likhee gayee haiN aur aise bhee jin meN yeh jama' kee shakl meN likhee gayee haiN. darj-e-Zel micaaleN dekhiYe. maiN ne jahaaN-tahaaN {---} meN muKhtaSar Haashiyah mazeed waZ^aaHat ke liYe likh diyaa hai.:

(a) jahaaN yeh taraakeeb jama' likhee haiN:

ai dil-e-deewaanah! ummeed-e-rihaayee kis liYe?
pech-o-Kham kaahe ko zulf-e-purshikan ke jaaYeN ge? (Tasleem Lucknawi)

ranjish-o-iltifaat-o-naaz-o-niyaaz
ham ne dekhe bohat nasheb-o-faraaz (Molana Hali)

{:dekhaa: Ghair-faSeeH ho jaaYe gaa. :dekhe: hee munaasib hai.}

ranj-o-Gham hijr ke guzar bhee gaYe
ab to woh dhyaan se utar bhee gaYe (Sahar Lucknawi)

yeh jaur-o-jaurkash the kahaaN aage i'shq meN?
tujh se wafaa-o-Mir se rasm-e-wafaa chalee (Mir Taqi Mir)

{yahaaN :the: kee jagah :thaa: naheeN baNdh sake gaa.}

saare shikan-o-pech mire dil ke uRaaYe
darham hai tiree zulf-e-siyah kaun se bal par? (Qalaq Meeruthi)

{:saaraa pech-o-Kham uRaayaa: Ghalat^ ho gaa.}

baaham baland-o-past haiN kaif-e-sharaab ke
aaNkhoN meN haiN t^uloo'-o-Ghuroob aaftaab ke (Nasim Dehlavi)
-------------------------
(2) jahaaN yeh taraakeeb waaHid likhee haiN:

yeh aab-o-taab thee anwaar-e-meh meN
jhalaktee thee zameeN Jamna kee teh meN (Banwari Lal Shola)

{yahaaN :aab-o-taab theeN: naheeN baaNdh sakte. is kee bandish waaHid hee ho saktee hai.}

mire maatam-kadeh meN noor-o-z^ulmat sab baraabar hai
sawedaa-e-shab-e-Gham hai sapedah SubH-e-hijraaN kaa (Zaheer Dehlavi)

{yahaaN :noor-o-z^ulmat: jama' likhaa jaa saktaa hai.}

aa'daa ke ta,a'shshuq meN sabhee kuchh hai gaNwayaa
pehlaa saa woh andaaz-o-adaa, naaz kahaaN hai? (Ashiq Dehalvi)

{yeh bunat munfarid hai, ya'nee :andaaz-o-adaa: ke saath :naaz: likhaa hai aur in do ke darmiyaan :aur: maKhfee hai.}

maZaaq-e-mudda,e'e hai talKh-o-kaam-e-dost hai sheereeN
suKhan meN bhar diyaa "Anwar" ne zehr-o-aNgbeeN kyaa kyaa (Anwar Lucknawi)

{:bhar diYe: bhee keh sakte haiN.}

taab-o-t^aaqqat, Sabr-o-raaHat, jaan-o-eemaaN, a'ql-o-hosh
haaYe kyaa kahiYe keh dil ke saath kyaa kyaa jaaYe hai (Momin)
----------------------
Ghaur-t^alab baat yeh hai (Raj SaaHeb ne bhee is kaa Zikr kiyaa hai) keh in taraakeeb ke donoN tashkeelee alfaaz^ ek hee jaZbah/Haal/cheez kee do SoorateN adaa karte haiN. yeh SoorateN yaksaaN bhee ho saktee haiN (raNj-o-Gham) aur mutaZ^aad bhee (noor-o-z^ulmat). lekin har Haal meN bayaan ek hee :kaifiyyat: hotee hai.

is saaree beHc kaa KhulaaSah yeh huwaa keh sawaal ke miSre' kee bunat b.ilkul SaHeeH hai!