Nazms | نظمیں


English اردو


Belaawe
Behlaawe

SubH-e-Gham ne oRhee hai ph`ir se shaam-e-tanhaayee
meree be-kasee Yaa Rab! mujh` ko yeh kahaaN laayee?
yaad meN kisee kee maiN ho gayaa hooN saudaayee
dard hai keh seeneh meN SubH-o-shaam paltaa hai!

sehmee sehmee woh naz^reN, sarsaraatee woh chilman
kaaNpte huwe woh lab, do diloN kee woh dh`aRkan!
rezah-rezah woh chehre, taar-taar woh daaman
koyee Khwaab meN aa kar dil miraa masaltaa hai!

woh hawaa-e-kaif-o-kam, lehlehaataa woh aaNchal
muskuraate woh lamHe, gungunaatee woh paayel!
aag woh tamannaa kee, HasratoN kee woh halchal
raNg roo-e-hastee kaa dam-ba-dam badaltaa hai!

ab kahaaN rahe woh din, ab kahaaN woh raateN haiN!
us ko yaad kar lenaa, Khwaab kee see baateN haiN
a'ashiqee kee baazee meN roz-o-shab kee maateN haiN
HasratoN kaa ik t^oofaaN rooH meN ubaltaa hai!

shaam-e-aarzoo hai aur aaftaab Dhaltaa hai!
dard hai keh seeneh meN SubH-o-shaam paltaa hai
koyee Khwaab meN aa kar dil miraa masaltaa hai
raNg roo-e-hastee kaa dam-ba-dam badaltaa hai
HasratoN kaa ik t^oofaaN rooH meN ubaltaa hai
ik chiraaGh bujh`taa hai, ik chiraaGh jaltaa hai!
lekin aisee yaadoN se dil kahaaN behaltaa hai?