Nazms | نظمیں


English اردو


Nawishtah-e-pas-e-Deewaar
Nawishtah-e-pas-e-Deewaar!

yeh raNg-o-boo, yeh naz^aare, yeh baz^m-aaraayee!
niyaaz-o-naaz-o-adaa, Husn, i'shq, ra'naayee!
shabaab-e-naz^m-o-Ghazal dar-paYe-shakebaayee!
mujh`e yeh saa,a't-e-guZaraaN kahaaN peh le aayee?

qaraar dekh` liYaa, iZ^tiraar dekh` liyaa
Gham-e-Habeeb, Gham-e-rozgaar dekh` liyaa
udaas chehroN peh uRtaa Ghubaar dekh` liyaa
nawaa-e-shauq ko be-iKhtiyaar dekh` liyaa
KhizaaN-gazeedah saa raNg-e-bahaar dekh` liyaa
gumaaN dareedah, yaqeeN taar-taar dekh` liyaa
tamaam i'shwah-e-Husn-e-nigaar dekh` liyaa
junooN kaa sijdah sar-e-koo-e-yaar dekh` liyaa
sawaad-e-a'ql-o-Khirad be-waqaar dekh` liyaa
rahaa nah Khud kaa bh`ee ph`ir e'tibaar dekh` liyaa
kabh`ee jo dekh`aa nah th`aa, baar baar dekh` liyaa!

:nah ibtidaa kee Khabar hai nah intihaa ma'loom:
nawishtah-e-pas-e-deewaar kyaa hai, kyaa ma'loom!