Nazms | نظمیں


English اردو


chand taSweer-e-butaaN!
Qateel Shifaayee:

(1)
kyoN kare koyee aarzoo-e-Ghazal?
kyaa kare koyee justjoo-e-Ghazal?

ab unheN aa,iYe! suneN jo haiN
naaz-o-andaaz-o-aabroo-e-Ghazal

aap kaa naam log lete haiN
jab bh`ee hotee hai guftgoo-e-Ghazal!

yeh Ghazal se haiN aur Ghazal in se
in se waabastah hai numoo-e-Ghazal

aap ke fan ke Haashiyah-bardaar
nashshah-e-she'r, mushkboo-e-Ghazal

chand qaR^re sahee, a't^aa hoN :Qateel:
aap ke paas hai suboo-e-Ghazal!

(2)
jahaan-e-she'r kee har aan-baan in se hai
zabaaN kee chaashnee, Husn-e-bayaan in se hai

Ghazal kee shaan, Ghazal kaa nishaan in se hai
yeh Khud haiN Urdu se, Urdu zabaan in se hai

koyee daleel to kyaa, Haajat-e-daleel naheeN
woh bazm-e-she'r naheeN hai jahaaN :Qateel: naheeN!
====================
Iqbal Safipooree:

(1)
ab kaun see Hasrat hai aur kaun see majbooree?
kyaa ranj-e-tamannaa ho, kyoN shikwah-e-mehjooree?

ham ek zamaaneh se bas naam hee sunte th`e
ab aap ko sun,ne kee Hasrat bh`ee huyee pooree!

jaZbaat kaa daryaa hai ik ek Ghazal in kee
andaaz-e-bayaaN maigooN, asha'ar haiN aNgooree

dil th`aam keh baiTh`e haiN arbaab-e-suKhan saare
meHfil meN ab aate haiN :Iqbal Safipooree:

(2)
majboor-e-shab-o-roz, nah paaband-e-mah-o-saal
kuch` is meN koyee shubh naheeN aur nah hee ishkaal
parwaaz kee in kee ho bayaaN kis t^araH eHwaal
poNhchee wahaaN Jibreel ke jalte haiN jahaaN baal

shaayad isee nisbat se taKhalluS rakh`aa :Iqbal:
====================
Himayat Ali Shaai'r

(1)
caabit huwaa asha'ar se in ke yehee aaKhir
Urdu tehee-daamaaN naheeN, hai ganj-e-nawaadir

nairaNgee-e-afkaar, rawaanee-o-salaasat
haiN aap ke asha'ar ke kyaa Khoob a'naaSir

jo seekh`naa ho Husn-e-bayaaN aap se seekh`eN
bandish kee agar pooch`iYe, woh bh`ee yahaaN HaaZ^ir

yeh sab ho mayassar to bataaYe koyee "Sarwar"!
ham kyoN nah kareN Zikr-e-Himaayat Ali Shaai'r?

(2)
culaacee kaa, Ghazal kaa, naz^m kaa maahir naheeN kehte
bisaat^-e-shaai'ree kaa ham use shaat^ir naheeN kehte

yeh seedh`ee see hai "Sarwar" baat keh dunyaa-e-Urdu meN
jo naa-waaqih hai :Shaai'r: se, use shaai'r naheeN kehte!

(3)
sarbastah hai daryaa ik she'roN kee nazaakat meN
lejah kee sharaafat meN, lafz^oN kee Halaawat meN

har she'r-e-Ghazal in kaa hai aap micaal apnee
bandish meN, rawaanee meN, narmee meN, lat^aafat meN

kuch` soz-e-muHabbat hai, kuch` saaz-e-jawaanee hai
Sad-raNg tafakkur meN, andaaz kee nudrat meN

kuch` apne fasaane haiN, kuch` qiSSe haiN dunyaa ke
naz^moN meN, culaacee meN, GhazaloN kee Hikaayat meN

ik shor-e-qiyaamat hai meHfil meN bapaa "Sarwar"!
kyaa ho gaa bh`alaa baRh` kar ab aur qiyaamat meN?

meHfil meN sabh`ee in ko mushtaaq haiN sun,ne ke
bas itnaa hee kehnaa hai :Shaai'r: kee Himaayat meN!

(4)
har baat HaseeN in kee har shai meN nafaasat hai
andaaz meN dh`eemaapan, lehjeh meN sharaafat hai

dunyaa-e-taGhazzul meN yaktaa hai wujood in kaa
kyaa Husn-e-faSaaHat meN, kyaa raNg-e-balaaGhat meN

raNgeenee-e-maZ^mooN se gulshan hai kalaam in kaa
geh qiSSah-e-ulfat hai, geh Zikr-e-siyaasat hai

shaai'r se ziyaadah yeh insaaN haiN baRe pyaare
ma'yaar-e-wafaa in kaa gar hai to sharaafat hai

GhazaloN meN, culaacee meN, naz^moN meN, rubaa,e'e meN
afkaar kee shiddat hai, jaZbeh kee tamaazat hai

hai baat baRee "Sarwar"! aur muNh hai bohat ch`oTaa
inSaaf karooN in se kab mujh` meN yeh t^aaqat hai?

behtar hai bulaa,ooN maiN meHfil meN unheN jin kaa
:Shaai'r: to taKhalluS hai aur naam Himaayat hai!
===================
Jagan Nath :Azad:

adab-o-she'r pah haiN aap ke eHsaaN kitne
har qadam marHale in se huYe aasaaN kitne!

waqt jab bh`ee paRaa wallah! ba-jaan-e-Urdu
aap hee se mile is dard ke darmaaN kitne

uTh` gaYe meHfil-e-she'r se deewaane sab
ab bh`alaa aate haiN aise naz^ar insaaN kitne?

hai Ghazal aap se aur aap Ghazal se mansoob
dehr meN dosto! aise haiN Ghazal-KhwaaN kitne?

muKhtaSar baat hai kuch` aur hameN yaad naheen
aap be-behrah hai jo waaqif-e-:Azad: naheeN!
====================
Raghib Muradabadi:

haNgaam-e-Sad-masarrat "Sarwar"! yeh waqt-e-shaadee!
sab log baa-adab hoN, yeh a'am hai manaadee

kis ne Ghazal ko aisaa achh`aa libaas baKhshaa?
aur kis ne shaai'ree ko raNgeen yeh qabaa dee?

ik u'mr KhooN se baaGh-e-Urdu ko kis ne seeNchaa?
miSro'N ko aabroo dee, asha'ar ko Hayaa dee?

shaa,istagee zabaaN meN, tehZeeb hai bayaaN meN
mulk-e-Ghazal ke murshid, shehr-e-suKhan ke haadee!

betaab log haiN bas "Sarwar"! Khamosh ho jaa
meHfil meN aa rahe haiN :Raghib Muradabadi:!
====================
Abdul Mateen :Arif:

kis muNh se kare aap kee "Sarwar" teHseen?
andaaz shareefaanah hai, lehjah sheereen!

Urdu kaa huwaa aap se ikraam baland
har Sinf-e-suKhan aap ke hai zer-e-nageen

charchaa hai zamaaneh meN suKhan-sanjee kaa
qit^a'at bohat Khoob, Ghazal bh`ee hai Haseen

har t^aur se haiN waaqif-e-andaaz-e-jadeed
ph`ir is pah buzurgoN kee riwaayat ke ameen

aasaan hai kis darjah taa'ruf in kaa?
:Arif: jo taKhalluS hai to hai naam Mateen!
===================
Hafeez^ :Taa,ib:

kabh`ee to jalwe haiN saadagee ke, kabh`ee shikoh-e-Sikandaree ke
sabh`ee haiN asha'ar in ke aise karishme jaise hoN Saamree ke!

fasaane saare yeh baaNkpan ke, yeh saare qiSSe sitam-garee ke
falak pah Urdu ke faq haiN chehre jabh`ee to Zuhrah-o-Mushtaree ke!

nazaakat-e-fikr-o-Husn-e-bandish, salaasat-o-t^arz-e-dilrubaayee
har ik Ghazal meN haiN in kee raushan hazaar andaaz dilbaree ke

yeh aaj shab in kaa aisaa aanaa, ph`ir anjuman meN Ghazal sunaanaa!
a'jab hai kyaa jo laboN pah qiSSe haiN baKht-e-meHfil kee yaawaree ke?

yeh sab mayassar hai jab to "Sarwar"! bh`ala taa'juub kee baat kyaa hai?
agar sabh`ee log muntaz^ir haiN :Hafeez^ Taa,ib: kee shaai'ree ke?
====================
Ameer Ahmad :Khusro:

woh Khwaab-e-shauq th`aa aur yeh hai Khwaab kee ta'beer
Khushaa! keh meHfil-e-Urdu kee kh`ul gayee taqdeer!

Hareem-e-she'r meN baa-Sad-niyaaz aaYe haiN
woh jin ke raNg-e-Ghazal kaa hai ik zamaanah aseer

jo baat kehte haiN, dil meN woh baiTh` jaatee hai
qalam se aap sajaate haiN is t^araH taSweer

ik ek Harf-e-Ghazal ganj-e-Sad-maa'nee hai
har ek she'r kitaab-e-Hayaat kee tafseer

Khamosh ho bh`ee jaa "Sarwar"! keh ab woh aate haiN
taKhalluS in kaa hai :Khusro: to naam-enaamee Ameer!
====================
MurtaZ^aa Barlaas:

ho gayee aaj pooree aas
bujh` gayee ahl-e-aarzoo kee pyaas

Zikr un kaa hai jin pah naazaaN haiN
kyaa KhwaaS aur kyaa a'waam-un,naas

ph`ool ab kh`ileN ge GhazaloN ke
kal talak jo th`e zeenat-e-qirt^aas

t^arz-e-nau meN bh`ee aap rakh`te haiN
shaai'ree kee riwaayatoN kaa paas

leejiYe aa gaYe zahe-qismat!
bazm-e-Urdu meN :MurtaZ^aa Barlaas:!
====================
Basheer :Badr:

(1)
nayee sharaab nayaa apnaa jaam rakh`tee hai
naYe Khayaal, nayee lai se kaam rakh`tee hai!
Bashee :Badr: ke asha'ar se huwaa ma'loom
nayee Ghazal bh`ee ik apnaa maqaam rakh`tee hai

(2)
inheN yeh qeematee jaageer de kar baaGh-e-Urdu kee
ravish-bandee sikh`aayee kis ne "Sarwar"! baaGh-e-Urdu kee
nayee t^arz-e-Ghazal ne aap kee jaadoo jagaayaa hai
uRaa kar le gayee Khushboo yeh gh`ar-gh`ar baaGh-e-Urdu kee
guZaarish hai keh :Badr:-e-Khush-bayaaN meHfil meN aa jaaYeN
karaa,eN sair kuch` ham ko bh`ee aa kar baaGh-e-Urdu kee!
====================
Peerzaadah Qasim:

Ghazal kaa baaNkpan, asha'ar kee jaadoo-garee dekh`o
KhayaaloN kee dh`anak hai keh seHr-e-Saamree? dekh`o

fasaane laalah-o-gul ke, wiSaal-o-hije ke qiSSe
bayaaN kee chaashnee, maZ^mooN kee yeh jalwah-garee dekh`o!

naz^ar aataa hai jaise aap ke jaam-e-taGhazzul meN
utar aayee hai jaan-e-shaai'ree kee ik paree, dekh`o

huwe haiN Peerzaadeh maa,il-e-she'r-o-adab "Sarwar"!
Ghazal ke raNg meN andaaz-o-shaan-e-Anwaree dekh`o!
====================
Muhsin Ehsan:

aap ke fan kaa kare koyee to kis t^araH bayaan?
aap se baRh gayee id bazm kee kuch` aur hee shaan!

Khoob haiN in pah a'yaaN saare nasheb aur faraaz
fikr hai jitnee baland, utnaa bayaaN hai aasaan

roop aur raNg kee yeh aankh`-michaulee, taubah!
she'r haiN yaa shafaq-e-gauhar-o-la'l-o-marjaan?

yeh salaasat, yeh Halaawat, yeh Khayaal-o-bandish
aap haiN jaan-e-Ghazal aur Ghazal aap kee jaan

"Sarwar"! is t^aur se ham sab pah yeh iHsaan hai aaj
jalwah-afroz huwe bazm meN :Muhsin Ehsaan:
====================
Mohsin Bhopali:

kyaa saraahooN aap ke fan ko? yahaaN yeh Haal hai
aap ke dam se zameen-e-she'r maalaa-maal hai!

muKhtaSar alfaaz^ meN laakh`oN kee keh jaate haiN baat
kitnee tafSeeloN pah bh`aaree aap kaa ijmaal hai

in kaa andaaz-e-taKhayyul, in kaa andaaz-e-bayaaN
lafz^ gar sur hai to har miSra' saraapaa taal hai

shaai'ree kaa in kee har ik bandah-e-bedaam hai
hai Ghazal kab dosto! ik KhoobSoorat jaal hai!

bazm-e-Urdu se ta,a'aruf is t^araH "Sarwar"! karooN
hai taKhalluS aap kaa :Muhsin:, wat^an Bhopal hai
====================
Malik-zaahah Manzoor Ahmad:

apne junooN ne dekh`iYe kyaa din dikh`aaYe haiN
takte th`e jin kee raah, woh tashreef laaYe haiN

in kee Ghazal se raNg milaa baaGh-e-she'r ko
Urdu adab meN kyaa hee naYe gul kh`ilaaYe haiN!

soz-o-gudaaZ she'r-e-Ghazal meN hai is t^araH
jaise guloN kee oT meN kaaNTe bich`aaYe haiN

yeh she'r hai keh sheeshah-garee kaa kamaal hai?
miSra' hai yeh ke jaZb ke daryaa bahaaYe haiN?

:Manzoor: ko th`ee sab kee hee manz^oor dil-dehee
"Sarwar"! jabh`ee to aaj yeh meHfil meN aaYe haiN!
====================
Nidaa Faazlee:

sab in ko shaai'r-e-raNg-o-bahaar kehte haiN
zameen-e-she'r ke haiN zar-nigaar, kehte haiN!

bayaaN in kee hai jaageer to zabaaN baaNdee
Ghazal ph`aRktee huyee, jaandaar kehte haiN

har ek lafz^ hai nikh`raa huwaa salaasat se
hai in ke she'r meN kaisaa nikh`aar! kehte haiN

bulaayaa jaaYe :Nidaa Faazlee: ko ai "Sarwar"
sabh`ee haiN in ke liYe be-qaraar kehte haiN!
====================
Kausar Saleem:

kaT gayaa woh waqt-e-Sad-ummeed-o-beem
aa gayaa haNgaam-e-har-lut^f-e-a'meem

deednee hai aap kaa raNg-e-kalaam
kyaa nayaa andaaz, kyaa t^arz-e-qadeem!

laalah-e-shaadaab miSra' ek ek
aur Ghazal maanind-e-Khushboo-e-naseem

fikr, jaZb-e-dil, naz^ar, t^arz-e-adaa
naz^m hai yaa ik Khazaanah yeh a'z^eem?

th`aam kar baiTh`eN jigar arbaab-e-Zauq
bazm-e-Urdu meN Ghazal-KhwaaN haiN :Saleem:!
====================
Krishna Bihaaree :Noor:

muntaz^ir yooN jo haiN sab, baat to koyee hai Z^aroor
kis liYe bazm pah hai aaj kee shab kaif-o-suroor?

shaai'ree aap ke kirdaar kaa aa,eenah hai
pech andaaz meN koyee nah t^abee,a't meN Ghuroor!

log kehte haiN keh pur-soz hai in kaa har she'r
aur Ghazal in kee saraasar hai Halaawat se choor

miT gaYe kaise sabh`ee in kee Ghazal-Khwaanee se
ranj-e-dunyaa-e-danee, fikr-o-Gham-e-Hoor-o-QuSoor!

faiZ^ se in ke bh`alaa kaun bachaa hai "Sarwar"?
naam se Krishna Bihaaree haiN taKhalluS se :Noor:!
====================
Om Prakash Bajaj:

muddatoN kee umeed bar aayee
aaj Soorat hai ik naz^ar aayee!

aap naz^m-o-Ghazal kee i'zz-o-jaah
aap mulk-e-suKhan ke shaahin-shaah!

hoN bayaaN kyaa janaab ke auSaaf?
in kee baaNdee adab kee sab aSnaaf

baab-e-tanqeed, a'rSah-e-teHqeeq
aap ne kee har ek kee tauceeq!

baat aa hee gayee zabaan par aaj
kaise rehtaa Khamosh "Sarwar" aaj

ho gayaa, th`aa jo raaz faash aaKhir
sheh-nasheeN bazm meN haiN :Om Prakash:
===================
Gulnaar Aafreen:

Ghazal yaa aur Ghazal kaa mudd,aa'a kyaa?
bayaan-e-i'shq kyaa, Husn-e-adaa kyaa?

nageenoN kee t^araH se jaR diYe haiN
kiYe haiN naz^m yooN maZ^moon kyaa kyaa!

Halaawat, saadagee, bandish, tafakkur!
ta,a'aruf maiN karaa,ooN aap kaa kyaa?

takalluf bar-t^araf maiN saaf keh dooN
kalaam-e-:AafreeN: kaa pooch`naa kyaa!
====================
Waseem Barelvi:

asha'ar kee yeh dil-baree, andaaz kee jaadogaree
yeh shaai'ree hai Sirf yaa "Sarwar"! keh seHr-e-Saamree?

kyaa Khoob hai Husn-e-bayaaN? ph`ir us pah yeh pyaaree zabaaN!
haaN! is ko kehte haiN Ghazal, yeh shaai'ree hai shaai'ree!

kyaa shorish-e-jaZbaat hai, jaZbaat kee kyaa baat hai!
geh inkisaar-e-i'jz hai, gaahe shikoh-e-Naadiree

naazuk-adaa har she'r hai, naazuk har ik maZ^moon hai
jee meN hai in se seekh`iYe afkaar kee sheesah-garee!

waabastah in ke naam se Urdu Ghazal kaa naam hai
jaagaa inheeN ke laHn se Urdu kaa baKht-e-Khaawaree

ummeed bar aaYe miree "Sarwar"! :Waseem:-e-KhushbayaaN
meHfil meN gar aa jaaYen ab, az-raah-e-bandah-parwaree
====================
Shameem Jaipuri:

kyoN ho "Sarwar"! mujh`e andeshah-o-Khauf-e-tarmeem?
meraa da'wah hai faqat^ faiSilah-e-a'ql-e-saleem

Khud hai apnee hee micaal aap kee har Sinf-e-kalaam
naz^m hai aap kee jaageer, Ghazal hai aqleem

aap kaa raNg-e-Ghazal, soz-e-bayaaN kyaa kehnaa!
Zauq paakeezah agar aap kaa to fikr saleem

aap ke she'r haiN bh`aaree kayee deewaanoN par
aap kaa Husn-e-bayaaN mustaHiq-e-Sad-takreem!

is t^araf gar hai bapaa shorish-e-afkaar-e-jadeed
us t^araf dekh`iYe Sad-raNgee-e-andaaz-e-qadeem

moojib-e-rashk hai Khush-baKhtee-e-bazm-e-Urdu
marHabaa shauq-o-junooN, marHabaa alt^aaf-e-:Shameem:!
====================
Manzar Bhopali:

andaaz-e-bayaaN? woh shaa,istah, usloob-o-zabaaN? woh Taksaalee!
har t^arz-e-adaa jaanee-boojh`ee, har Sinf-e-suKhan dekh`ee-bh`aalee

kyaa Zikr Halaawat kaa "Sarwar"? kyaa charchaa Husn-e-salaasat kaa?
alfaaz^ kaa jaadoo kyaa kahiYe, maZ^moon bh`ee ik se ik a'alee!

asha'ar haiN yaa motee kee laRee, ph`ir baat bh`ee ik se ek baRee!
jab fan kaa ho yeh Haal to ph`ir kyoN jaaYe waar koyee Khaalee?

behtar hai ta,a'aruf Khatm kareN aur Ghaur se ham sab in ko suneN
ab leejiYe bazm-e-Urdu meN aate haiN :Manzar Bhopalee:
====================
Azhar Inaayatee:

kaiaa dilkash hai nuqt^ah-e-aaGhaaz!
bazm-e-Urdu meN yeh nayee aawaaz!

naaz-bardaar-e-gesoo-e-Urdu
raazdaan-e-Hareem-e-soz-o-saaz!

kyaa ho ta'reef aap kee "Sarwar"
Khoob hai she'r, Khoob hai andaaz!

shaai'ree in pah naaz kartee hai
fikr gehree, baland hai parwaaz!

ab agar ho i'naayat-e-:Azhar:
ham pah kh`ul jaaYeN zindagee ke raaz!
====================
Nakhat Barelvee:

kyaa Husn ke t^areeqe, kyaa t^aur a'ashiqee ke
kyaa gul-ruKhee ke charche, kyaa Zikr dilbaree ke!

maZ^moon agar nayaa hai, u'nwaan hai niraalaa
kyaa be-Khudee ke qiSSe, kyaa Zikr aagahee ke

kis kis t^araH inhoN ne sab Haq adaa kiYe haiN
Urdu kee aabroo ke, aadaab-e-shaai'ree ke

ph`ir kyoN nah aaj kee shab jee bh`ar ke in se seekh`eN?
dil kee lagee kee baateN, andaaz dil-lagee ke!

bh`eegee hai raat "Sarwar"! behtar hai Khaamushee ab
sab log muntaz^ir haiN :Nakhat Barelvee: ke!
====================
Sabeeha Sabaa:

HairaaN Ghazal pah sab th`e yeh kis Khush-adaa kee hai?
naa-aashnaa kee hai keh kisee aashnaa kee hai

raNgat hai gul kee is meN to laalah kaa hai nikh`aar
shoKhee jo hai to SubH kee taazah hawaa kee hai

kyaa kyaa naheeN hai she'r meN saamaan-e-zindagee
qiSSah jafaa kaa hai to kahaanee wafaa kee hai!

yeh shaai'ree hai Sirf keh jaadoo-garee hai yeh?
shuhrat jahaaN meN kis kee yeh t^arz-e-adaa kee hai?

"Sarwar" ne keh ke kh`ol diyaa raaz bazm meN
dil th`aamiYe Ghazal yeh :Sabeeha Sabaa: kee hai!
====================
Habaab Tirmizee:

kuch` Zikr-e-muHabbat ho, kuch` raNg-e-shabaab aaYe
meenaa-e-Ghazal ch`alke, she'roN kee sharaab aaYe

har dil meN tamannaa kee ik aag see lag jaaYe
nai Z^abt^ kaa yaaraa ho, nai Sabr kee taab aaYe

gul-rezee-o-mastee ho, shoKhee ho, masarrat ho
paazeb-e-junooN ch`anke aur chaNg-o-rabaab aaYe!

be-taabee-e-meHfil kaa kyaa Zikr karooN :Sarwar:
aawaazah-e-har-dil hai "aaYe, woh :Habaab: aaYe"!
====================
Azeezul Hasan :Azeez:

(1)
inqilaab aate haiN aur aa ke guZar jaate haiN
jab kaheeN aap se fankaar naz^ar aate haiN

dasht-e-asha'ar meN sar-gardaaN haiN jaane kitne
in ke andaaz-e-taKhaat^ub ko kahaaN paate haiN?

log jis baat kaa afsaanah banaa dete haiN
chand alfaaz^ meN woh baat yeh keh jaate haiN

saadagee, soz-e-bayaaN, Husn-e-zabaaN, fikr-o-naz^ar
apnee GhazaloN ke har ik she'r se barsaate haiN

munkasir aise t^abee,a't ke keh Allah, Allah!
log ik beete huYe aHd ke yaad aate haiN

:aap se mil ke "Azeez" aise shajar yaad aaYe
jitne ph`al-daar hoN utne hee woh jh`uk jaate haiN:

(2)
Hasrat th`ee zamaaneh se meHfil meN koyee aaYe
aur apnee Ghazal se ik jaadoo saa jagaa jaaYe

sarshaar-e-junooN kar de har rind-e-balaakash ko
mai-Khaanah-e-Urdu kaa woh jaam pilaa jaaYe

kuch` raNg-e-zabaaN bh`ee ho, kuch` t^arz-e-bayaaN bh`ee ho
haNste huYe she'roN se woh ph`ool kh`ilaa jaaYe

geh qiSSah-e-dauraaN ho, geh Zikr-e-Gham-e-hijraaN
jaZbaat kee garmee se ik aag lagaa jaaYe

mushkil hee se aataa hai sun,ne meN kalaam aisaa
:jo qalb ko garmaaYe, jo rooH ko taRpaaYe:

Sad-shukr huyee pooree yeh Hasrat-e-dereenah
ik shor hai meHfil meN "Sarwar"! keh :Azeez: aaYe!
===================
Haneef :AKhgar: Maleehabadi

kareN kyaa a'rZ^ ham ai bandah-parwar?
sunaa karte th`e jin kaa Zikr akcar

hamaare darmiyaaN meHfil-nasheeN haiN
muqaddar deednee hai aaj "Sarwar"!

taGhazzul ke ho in ke Zikr kyaa kyaa
taKhayyul? woh bh`ee ik se ek baRh` kar

lat^aafat, saadagee, naazuk-Khayaalee!
rawaanee hai keh yeh hai mauj-e-Kaucar?

takalluf bart^araf! ab Khud hee sun leN
bayaaN ho kis t^araH andaaz-e-:Akhgar:?
====================
:Shabnam: Roomaanee
kyaa shak hai keh yeh dunyaa-e-danee ai dost! hai bas aanee-jaanee
hote haiN lamHe chand magar ham sab ke liYe hee laa-faanee!

dunyaa-e-Ghazal meN naam ho hai is darja baRaa in SaaHeb kaa
kyaa fikr-o-naz^ar, kyaa Husn-e-adaa, ik ek kee dunyaa deewaanee

asha'ar se yeh har meHfil meN ik aag lagaayaa karte haiN
parkh`o to Zaraa andaaz-e-suKhan, dekh`o to yeh aatish-saamaanee!

maqbool-e-jahaaN hai in kee Ghazal to Hairat kee kyaa baat huyee?
haiN :Faiz: agar yeh bandish meN, shoKhee meN haiN :Hasrat Mohaanee:

maiN a'rZ^ karooN "Sarwar"! kyaa kyaa? behtar hai yehee Khamosh rahooN
Sad-shukr keh aaj is meHfil meN maujood haiN :Shabnam Roomaanee:!
===================
Rahat Indoree:

Khushaa-waqte keh meHfil meN bapaa shor-e-qiyaamat hai
kisee jaadoo-bayaaN shaai'r kee aamad kee a'laamat hai!

koyee maZ^mooN ho yeh us ko adaa Khoobee se karte haiN
Ghazal in kee saraasar maz^har-e-Husn-e-salaasat hai

zabaaN meeTh`ee hai, t^arz-e-fikr suljh`aa hai, bayaaN saadah
har ik miSre' meN mastee aur shoKhee hai, Halaawat hai!

agar andaaz shaa,istah hai to lehjah shareefaanah
sharaafat hee sharaafat hai, nafaast hee nafaasat hai

ta,a'aruf yooN hai "Sarwar"! dekh`iYe is shaam meHfil meN
waTan Indore hai in kaa, taKhalluS in kaa :Rahat: hai
====================
Anjum Rehbar (begam Rahat Indoree):

Zikr ji kaa huwaa kartaa th`aa yahaaN par akcar
bazm kee shaan baRh`aa dee hai unhoN ne aa kar

koyee dekh`e to yeh nai-raNgee-e-iz^haar-e-Khayaal
jitnee ta'reef ho asha'ar kee kam hai "Sarwar"!

raNg-o-aahaNg se jaadoo saa jagaa rakkh`aa hai
fikr-o-andaaz-e-Ghazal ek se ik hai baRh` kar

jo bh`ee suntaa hai use sun ke gumaaN hotaa hai
ban ke aawaaz utar aayee hai mauj-e-Kaucar

aa,iYe baiTh` ke HaaSil kareN raahat in se
jalwah-afroz haiN jo bazm meN :Anjum Rehbar:!
===================
Abbas Tabish:

pooree huyee hai muddat kee Khwaahish
ai mere daawar! teree nawaazish!
in kee Ghazal se taazah huYe haiN
farmaan-e-Nasikh, deewaan-e-Atish!
Khaamosh "Sarwar"! ab aa rahe haiN
bazm-e-suKhan meN :Abbas Tabish:!
====================
Amjad Islam :Amjad:

shehr-e-Urdu meN bohat aap kaa mash,hoor hai naam
shaai'ree jh`uk ke kiyaa kartee hai in kaa ikraam
soz meN, saaz meN, andaaz meN, Khush-goyee meN
mo'tarif ek zamaanah hai, naheeN koyee kalaam!
kyaa a'jab aap ne rakkh`aa hai taKhalluS :Amjad:
naam-e-naamee bh`ee to aap kaa Amjad Islam!
====================
Qamar Rais:

maddaaH sab haiN aap ke kyaa Ghair kyaa anees
mujh` se nah Haq adaa ho maiN aisaa naheeN Khasees!

ik dam judaa zamaaneh se in kaa kalaam hai
ham-pallah koyee hai nah koyee aap kaa jalees

yeh saadagee ph`ir is pah maZ^aameen yeh baland!
andaaz kee jo pooch`iYe to ik se ik nafees

teHseen-o-aafeeN ko bh`alaa ek baat hai?
maZ^mooN niraale, t^arz judaa aur zabaaN salees

maah-e-suKhan haiN aur ra,ees-ul-Ghaza haiN yeh
jab hee to naam aap kaa Th`ehraa "Qamar Raees"!
===================
Rashida AyaaN:

ahl-e-dil, ahl-e-suKhan, ahl-e-zabaaN aur bh`ee haiN
manzil-e-she'r meN qadmoN ke nishaaN aur bh`ee haiN

mai-kadah kab huwaa rindoN se Ghazal kaa Khaalee?
mai-gusaar aur bh`ee haiN, peer-e-muGhaaN aur bh`ee haiN

shama'-e-Urdu ke yehee chand naheeN parwaane
sar hath`elee pah liYe sho'lah-bajaaN aur bh`ee haiN

yeh Haqeeqat hai, yaqeena" hai,walekin "Sarwar"!
dehr meN, yeh kaho! maanind-e-:AyaaN: aur bh`ee haiN?
====================
Khwaah-maKhwaah Hyderabadi:

t^aba' Hassaas hai bhar-poor nigaah
munfarid shaai'ree meN in kee raah
gul kh`ilaate haiN yeh Khoon-e-dil se
naz^m bh`ee Khoob, Ghazal bh`ee dil-Khwaah
dh`oop aur ch`aa,oN kaa ik kh`el haiN she'r
aah ik gaah hai aur gaahe waah!
Allahabad se gar th`e :Akbar:
Hyderabad se haiN :Khwaah-maKhwaah:!
====================
:Popular: Meeruthee

kyaa mazaa aaYe woh aa jaaYeN sar-e-meHfil agar
raah jin kee tak rahee hai bazm-e-Urdu is qadar

apne fan se aap ne Dh`aaYe nah jaane kis t^araH
Khandah-e-be-saaKhtah meN ashk-haa-e-chasm-e-tar

dil Gham-e-insaaN se in kaa har gh`aRee hai daaGh daaGh
aur Haalaat-e-zamaanah par bh`ee hai gehree naz^ar

aap ke asha'ar se "Sarwar"! yehee caabit huwaa
"ph`ool kee pattee se kaT saktaa hai heere kaa jigar"

shuhrat-o-tuhmat kee manzil se guZar kar aaYe haiN
meHfil-e-eHbaab meN Meeruth se HaZ^rat :Popular:!