Ghazals | غزلیں


English اردو


ibtidaa-e-shauq kaa e'laan-e-mastaanah hooN maiN
ibtidaa-e-shauq kaa e'laan-e-mastaanah hooN maiN
intihaa-e-i'shq kaa iz^haar-e-rindaanah hooN maiN!

kh`el hai dunyaa kee her farzaanagee mere liYe
aur z^aalim yeh samajh`tee hai k deevaanah hooN maiN!

aashnaa-e-Husn hooN, mast-e-havaa-e-shauq hooN
meHfil-e-ahl-e-Khirad meN ek hee daanaa hooN maiN

voh fuGhaaN seene meN jo gh`uT gh`uT ke aaKhir mar gayee
jo adh`ooraa reh gayaa hoNToN pe, afsaanah hooN maiN!

dekh` yeh raNg-e-Khudee, deevaanah deevaanoN meN hooN
aur yeh bee dekh`, farzaanoN meN farzaanah hooN maiN!

voh Hareem-e-shauq aur Khalvat kee voh nai-raNgiyaaN
kaisee a'alam-saaz yaadoN kaa Sanam-Khaanah hooN maiN!

koyee din jaataa hai meHfil meN ch`alak jaa,ooN gaa maiN
aab-e-talKh-e-zeest se labrez paimaanah hooN maiN

yeh tamaashah-gaah-e-a'alam or yeh meree be-Khudee
kyaa kahooN dunyaa kee jab Khud se hee be-gaanah hooN maiN?

ch`Rte haiN kyoN mujh`e yeh mai-gusaaraan-e-suKhan?
laakh` be-qeemat hooN par ma'yaar-e-maiKhaana hooN maiN!

yaad-e-maaZ^ee bh`ee idh`aar aate huYe ghabraaye hai
kis qadar veHshat hai, veeraanah saa veeraanah hooN maiN!

yaad aataa hai mujh`e :Sarwar:! sar-e-daar-e-Khirad
voh tiraa kehnaa k :deevaanah hooN, deevaanah hooN maiN:!