Ghazals | غزلیں


English اردو


Zaraa saNbh`al ke sar-e-bazm ch`eRnaa ham ko
"Zaraa saNbh`al ke sar-e-bazm ch`eRnaa ham ko"
naz^ar lage na kaheeN naalah-haaYe-kam-kam ko!

kisee kee yaad meN poNhache haiN ham is a'alam ko
suboo banaa diYaa gul ko, sharaab shabnam ko!

voh jis se th`oRee see ummeed-e-ham-navaayee th`ee
usee ne Ghair samajh` kar bh`ulaa diYaa ham ko!

kahaaN chale gaye voh reh-ravaan-e-raah-e-shauq?
a'zeez rakh`te th`e kal jo Ghubaar-e-peham ko

Th`ehar ai gardish-e-dauraaN! voh dekh` aate haiN
hazaar Hasrat-o-Gham tere Khair-maqdam ko!

hamaare shehr kaa dastoor to zaraa dekh`o!
keh ph`ooNk ph`ooNk ke peete haiN log Zam-Zam ko!

voh apnaa Zauq-e-naz^ar kyoN badal naheeN dete?
jo log dete haiN ilzaam raNg-e-mausam ko

yeh soz-o-saaz, yeh raNgeenee-e-bayaaN :Sarwar:!
du,a'a Khudaa se hai, qaa,im rakh`e tire dam ko!