Ghazals | غزلیں


English اردو


tum chain se kab ho? hameN aaraam kahaaN hai?
tum chain se kab ho? hameN aaraam kahaaN hai?
is i'shq-e-balaa-Khez kaa ina'am kahaaN hai?

SeHbaa-e-vafaa, daur-e-Khush-anjaam, kahaaN hai?
kuch` too hee bataa, gardish-e-ayyaam! kahaaN hai?

voh bazm-e-Khudee, saaqee-e-Khush-kaam! kahaaN hai?
aagah kare aap se, voh jaam kahaaN hai?

har sajdah-e-ulfat miraa tajdeed-e-vafaa hai
gar kufr yehee hai to ph`ir Islam kahaaN hai?

aaGhaaz meN anjaam naz^ar aa gayaa mujh` ko
ab fikr kise i'shq kaa anjaam khaaN hai?

dunyaa bh`ee gayee deeN kee taraH i'shq ke haath`oN
ab teraa Th`ikaana, dil-e-naakaam! kahaaN hai?

yeh dehr agar shehr-e-yaqeeN hai to bataa,o
aaKhir voh Sanam-Khaanah-e-auhaam kahaaN hai?

muddat se voh deevaanah naz^ar hee naheeN aayaa
dekh`o to Zaraa :Sarwar:-e-badnaam kahaaN hai?