Ghazals | غزلیں


English اردو


fuGhaaN be-faiZ^ kyoN hai, naalah-e-dil be-acar kyoN hai?
fuGhaaN be-faiZ^ kyoN hai, naalah-e-dil be-acar kyoN hai?
niz^aam-e-meHfil-e-Husn-e-azal zer-o-zabar kyoN hai?

zameen-o-aasmaaN ko ham se ranjish is qadar kyoN hai?
muqaddar meN hamaare gardish-e-shaam-o-saHar kyoN hai?

nah maiN badlaa, nah Gham badlaa, nah raNg-e-daastaaN badlaa!
Khudaaraa yeh bataa! badlee huyee teree naz^ar kyoN hai?

mile gaa kyaa dil-e-barbaad! maaNge ke ujaale se?
too us kee justjoo meN Khud se itnaa be-Khabar kyoN hai?

udh`ar un kee jafaa,eN haiN, idh`ar apnee vafaa,eN haiN
chalo maanaa keh dastoor-e-muHabbat hai, magar kyoN hai?

tumheN kehnaa hai jo kuch` Saaf keh do, kyaa takalluf hai?
shikaayat aur ph`ir voh bh`ee ba-andaaz-e-digar kyoN hai?

saHar kaa ph`ooTnaa hee aamad-e-shab kee manaadee hai
yeh roodaad-e-kitaab-e-zeest itnee muKhtaSar kyoN hai?

koyee samjh`aaYe to yeh i'shq kee roodaad samjh`aaYe
tumhaaraa soo-e-Z^an kyaa hai, miraa Husn-e-naz^ar kyoN hai?

baqadr-e-Z^arf tujh` ko daad to miltee hai meHfil meN
tujh`e :Sarwar:! bh`alaa ph`ir shikvah-e-ahl-e-hunar kyoN hai?