Ghazals | غزلیں


English اردو


nigaahoN kaa ishaarah ho rahaa hai?
nigaahoN kaa ishaarah ho rahaa hai?
keh jannat kaa naz^aarah ho rahaa hai?

ilaahee! kh`ol de dunyaa pe voh sab
jo mujh` per aashkaarah ho rahaa hai

maiN rag pehchaantaa hooN zindagee kee
har ik t^oofaaN kinaarah ho rahaa hai

faqat^ Sinf-e-suKhan Th`ehree muHabbat
sitam ik isti,a'arah ho rahaa hai!

t^areeqat meN jo sab kuch` naaravaa th`aa
muHabbat meN gavaarah ho rahaa hai

Gham-e-dunyaa se furSat th`ee nah jis ko
vohee dil ab tumhaaraa ho rahaa hai

nah deeN apnaa, na dunyaa hai hamaaree
ba-her Soorat Khasaarah ho rahaa hai

hamaaraa Haal ab aisaa hai :Sarwar:
duaa',oN per guZaara ho rahaa hai!