Ghazals | غزلیں


English اردو


ham ko apnaa pataa naheeN miltaa
ham ko apnaa pataa naheeN miltaa
kyoN kaheN ham Khudaa naheeN miltaa?

ai shab-e-hijr! teree u'mr daraaz!
tujh saa dard-aashnaa naheeN miltaa!

dostee teree saaree dunyaa se!
mujh` se kyoN dil tiraa naheeN miltaa?

ho gaye Gham se is qadar maanoos
ab Khushee meN mazaa naheeN miltaa

Khud hee kehte haiN Khud hee sunte haiN
jab koyee doosraa naheeN miltaa

i'shq meN kyaa rakh`aa hai, yeh mat pooch`
dekh` yeh, is meN kyaa naheeN miltaa!

kh`o gayaa is t^araH maiN apne meN
Dh`ooNDtaa hooN, pataa naheeN miltaa

mai-kadoN meN janaab-e-:Sarwar: saa
ek bh`ee paarsaa naheeN miltaa!