Ghazals | غزلیں


English اردو


hai SubH-e-malaamat sar peh khaRee, ab ai shab-e-hijraaN kyaa ho gaa
Ghazal

hai SubH-e-malaamat sar peh khaRee, ab ai shab-e-hijraaN kyaa ho gaa?
yeh Khwaab-e-pareshaaN kyaa ho gaa, yeh chaak-e-girebaaN kyaa ho gaa?

kyaa Zikr-e-ma,aal-e-i'shq-o-junooN, kyaa fikr-e-i'laaj-e-maujah-e-KhooN
jab dard hee apnaa darmaaN ho, phir dard kaa darmaaN kyaa ho gaa!

Khud apnee Khabar to ek t^araf, tujh se bhee huwaa hooN be-gaanaa
ab is se ziyaadah Hashr bapaa, ai Hashr-badaamaaN! kyaa ho gaa!

is kufr-e-muHabbat ke qurbaaN, awwal bhee yehee, aaKhir bhee yehee
yeh kufr to aSl-e-eemaaN hai, ab HaaSil-e-eemaaN kyaa ho gaa?

suntaa naheeN koyee qiSSah-e-Gham, paRhtaa naheeN koyee fard-e-alam
ai dard-e-muHabbat! too hee bataa aaKhir tiraa u'nwaaN kyaa ho gaa?

tamheed-e-KhizaaN meN pinhaaN hai tajdeed-e-bahaaraaN kee aamad
takreem-e-KhizaaN phir kyoN nah kareN, afsos-e-bahaaraaN kyaa ho gaa!

jab aas kaa jaadoo TooTe gaa,jab Sabr kaa daaman chhooTe gaa
us waqt kaa manz^ar kuchh to bataa ai shaam-e-GhareebaaN kyaa ho gaa?

kehne ko to keh deN qiSSah-e-Gham, hai kaun magar sun,ne waalaa?
deewaaroN se baateN kaun kare, ai deedah-e-giryaaN kyaa ho gaa?

hooN apnee Haqeeqat kaa jooyaa, Khud apne he saaYe ke peechhe
dunyaa meN bhalaa mujh saa koyee Hairaan-o-pareshaaN kyaa ho gaa!

hai daur nayaa aur log naYe, andaaz-e-Ghazal-goyee hai nayaa
suntaa hee naheeN jab koyee tiree, "Sarwar" too Ghazal-KhwaaN kyaa ho gaa!

-------------