Ghazals | غزلیں


English اردو


zer-e-lab sab kuchh hai lekin barmalaa kuchh bhee naheeN
zer-e-lab sab kuchh hai lekin barmalaa kuchh bhee naheeN
is t^araH baiThe haiN woh jaise huwaa kuchh bhee naheeN!

jaam-o-meenaa, saaz-o-mut^rib, raNg-e-meHfil, lut^f-e-she'r
:yaar pehloo meN nah ho jab to mazaa kuchh bhee naheeN:!

SubH-e-Gham, roz-e-junooN, shaam-e-alam, shab-haaYe marg
raah-e-ulfat meN dilaa! is ke siwaa kuchh bhee naheeN!

ik Zaraa see Thes se taar-e-nafas naayaab hai
ibtidaa kuchh bhee nah thee, ab intihaa kuchh bhee naheeN!

har nafas saaGhar-ba-kaf ho, har ghaRee meenaa-ba-dosh
yeh naheeN hai gar to jeene meN rakhaa kuchh bhee naheeN!

i'shq apnee ibtidaa hai, i'shq apnee intihaa
a'ashiqee kee raf,a'toN se maa-waraa kuchh bhee naheeN!

ahl-e-dil par Khandah-zan ahl-e-Khirad haiN is t^araH
ho Khudaayee un kee jaise aur Khudaa kuchh bhee naheeN!

dil ho afsurdah to naz^roN meN bhalaa jachtaa hai kaun?
boo-e-gul, raNg-e-saman, mauj-e-Sabaa kuchh bhee naheeN!

khoyee khoyee see naz^ar kyaa kyaa fasaane keh gayee
aur kehne ko jo poochho to kahaa kuchh bhee naheeN!

kyaa ta,a'jjub mujh se jo dunyaa hai "Sarwar" be-Khabar
beHr-e-hastee meN mataa,e'-naqsh-e-paa kuchh bhee naheeN!

dil buraa kartaa hai kyoN "Sarwar" keh itnaa to samajh
HasrateN teree ba-juz Khwaab-e-anaa kuchh bhee naheeN!