Ghazals | غزلیں


English اردو


nakhat-e-zulf Ghazal, garmee-e-ruKhsaar Ghazal
nakhat-e-zulf Ghazal, shoKhee-e-ruKhsaar Ghazal!
naaz-o-andaaz-o-adaa, garmee-e-raftaar Ghazal!

soz meN Doobee huyee, saaz se sarshaar Ghazal
"le uRee hai tiraa lejah, tiree guftaar Ghazal!"

SubH-e-ummeed yehee hamdam-o-damsaaz rahee
shaam-e-Gham ban gayee thak kar miree Gham-Khwaar Ghazal

kaun samjhaaYe gaa is lamHah-e-maujood kee baat?
yooN to kehne ko kahee jaaYeN gee sau baar Ghazal

Khoon-e-ummeed meN shaamil ho jo Khoon-e-hastee
tab kaheeN jaa ke huwaa kartee hai tai,yyaar Ghazal!

aaYeN ab ahl-e-Khirad, shaam-e-junooN hotee hai
paRh rahaa hai koyee Mansoor sar-e-daar Ghazal!

"Sarwar"-e-Khastah-nafas hadyah-e-dil laayaa hai
ek lamHah hee sahee, sun to leN sarkaar Ghazal!