Ghazals | غزلیں


English اردو


dil kee hee dil meN reh gayee Hasrat gunaah kee
dil kee hee dil meN reh gayee Hasrat gunaah kee
us ne kuch` is ^taraH miree jaanib nigaah kee!

naz^areN mileeN to aaNkh` se aaNsoo Tapak paRe
yeh intihaa hai aap se ab rasm-o-raah kee

aalaam-e-rozgaar se begaanah kar diyaa
kyaa baat hai tire karam-e-gaah-gaah kee!

dil meN jalaa jalaa ke bujh`aate rahe chiraaGh
jaise bh`ee ho sakaa shab-e-Gham se nibaah kee

"yaaraan-e-tezgaam ne manzil ko jaa liyaa"
ham Khaak ch`ante hee rahe Sirf raah kee

is i'shq-e-naa-muraad kee Khaanah-KharaabiyaaN!
dunyaa tabaah kee! miree dunyaa tabaah kee!

kyaa ham nah hote vaaqif-e-aayeen-e-a'ashiqee?
miltee Zaraa see aur jo furSat gunaah kee!

begaanah-e-KhulooS-o-vafaa a'ashiqee meN ho
:Sarwar:! Zaraa to fikr karo zaad-e-raah kee!