Ghazals | غزلیں


English اردو


mujhe too fareb-e-wafaa nah de mujhe e'tibaar-e-wafaa naheeN
mujhe too fareb-e-wafaa nah de, mujhe e'tibaar-e-wafaa naheeN
yeh sunaa hai koochah-e-dard meN rah-o-rasm-e-jood-o-saKhaa naheeN!

maiN nishaanah apne hee teer kaa, maiN hooN nauHah apnee nafeer kaa
jo gilaa hai mujh ko to Khud se hai, mujhe zindagee se gilaa naheeN!

mujhe dair-o-Ka'beh se kyaa GharaZ^, wahaaN jaa ke mujh ko mile gaa kyaa?
hai yeh i'shq apnaa hee Khud Silah, koyee is se baRh ke Silaa naheeN

wohee Khauf-e-jurm-o-a'Zaab hai, wohee fikr-e-Khair-o-cawaab hai
tiree bandagee kaa maiN kyaa karooN, tiree bandagee meN mazaa naheeN!

tire faiSaloN peh gumaaN karooN, kahaaN aisee meree majaal hai
miraa Sirf ek sawaal hai keh maiN kyaa hooN aur maiN kyaa naheeN?

yeh bahaar kaisee bahaar hai keh rawish rawish Saf-e-Khaar hai
woh fiZ^aa meN boo-e-saman naheeN, woh chaman meN mauj-e-Sabaa naheeN!

sar-e-aa,eenah bhee Ghubaar hai, pas-e-aa,eenah bhee Ghubaar hai
hai a'jeeb marHalah deed kaa, yahaaN aa,eenah bhee hai yaa naheeN?

nah to maiN hooN maiN, nah hee too hai too, faqat^ ik fareb-e-nigaah hai
koyee raaz agar hai to hai yehee keh hameN kuchh us kaa pataa naheeN!

jo maiN apnee Zaat meN kho gayaa, usee lamHah mujh ko pataa chalaa
keh yeh a'ks apne wujood meN us ik aa,eenah se judaa naheeN!

nah GhameeN ho "Sarwar"-e-benawaa, yehee sab to hotaa hai i'shq meN
abhee tere saath huwaa hai kyaa, abhee pyaare kuchh bhee huwaa naheeN!