Ghazals | غزلیں


English اردو


ik nazar dekhaa nah us ne, kuchh nah shunwaayee huyee
ik naz^ar dekhaa nah us ne, kuchh nah shunwaayee huyee
"haaYe! kaisee us bharee meHfil meN ruswaayee huyee!"

shehr-e-Ghurbat meN huyee to yooN pazeeraayee huyee
raazdaaN apnee yehee har pal kee tanhaayee huyee

she'r-e-Urdu par t^abee,a't jab se hai aayee huwee
ek dunyaa meree Haalat kee tamaashaayee huyee

kaun kis ko poochhtaa hai reh-guzaar-e-zeest meN
haaN daleel-e-raah bas yeh aablah-paayee huyee!

kaise guzree kyaa kaheN, kis se kaheN, kaise kaheN?
zindagee rehtee hai ab to Khud se sharmaayee huyee

e'tibaar-e-i'shq? taubah, al-amaan-o-al-Hafeez^!
deen-o-eemaaN, jaan-o-dil har cheez harjaayee huyee

josh-e-Hasrat dekh kar mauj-e-Hawaadic ruk gayee
haath se jaatee rahee manzil qareeb aayee huyee

lamHah lamHah woh mire dil ke qareeb aate gaYe
raftah raftah is t^araH Khud se shanaasaayee huyee

raah-e-naa-pursaan-e-Gham meN reh gayaa jab haar kar
rehnumaa har gaam par meree yeh Khud-raayee huyee

e'tibaar-e-aarzoo karte haiN "Sarwar" i'shq meN!
bandah-parwar! aap kee shaamat hai kyaa aayee huyee?