Ghazals | غزلیں


English اردو


diloN ke darmiyaaN jhooTee muHabbat aa hee jaatee hai
diloN ke darmiyaaN jhooTee murawwat aa hee jaatee hai
ho ulfat Khaam to boo-e-siyaasat aa hee jaatee hai!

gilaa kaisaa HaseenoN se bhalaa naazuk-adaayee kaa?
:Khudaa jab Husn detaa hai, nazaakat aa hee jaatee hai!:

yeh hai ik Haadicah yaa Husn kee mo'jiz-numaayee hai?
naz^ar uThte hee us kee ik qiyaamat aa hee jaatee hai!

yeh raah-e-i'shq hai, is meN hazaaroN moR aate haiN
bachaa,o laakh daaman phir bhee tuhmat aa hee jaatee hai!

dil aaKhir dil hai, saNbhle gaa kahaaN tak manzil-e-Gham meN?
lab-e-aashuftah-Khoo par aah-e-Hasrat aa hee jaatee hai

nihaaN meree kahaane meN zamaane kaa fasaanah hai
karooN kyaa darmiyaaN sab kee Hikaayat aa hee jaatee hai!

jab apne hee nah hoN apne wahaaN GhairoN se kyaa shikwah?
kabhee to kaam GhairoN kee rafaaqat aa hee jaatee hai!

:yeh dunyaa, be-wafaa dunyaa, Khudaa naa-aashnaa dunyaa!:
nah chaaheN ham magar is par t^abee,a't aa hee jaatee hai!

miyaan-e-dair-o-Ka'bah marHale haiN laakh eemaaN ke
ho dil be-lauc to Khoo-e-i'baadat aa hee jaatee hai!

suKhan-daanoN kee meHfil meN ho kehnee bat to :Sarwar:
qalam meN Khud ba-Khud rooH-e-faSaaHat aa hee jaatee hai!