Ghazals | غزلیں


English اردو


kisee kee kufr-saamaanee ke din haiN
kisee kee kufr-saamaanee ke din haiN
hamaaree Khaanah-weeraanee ke din haiN

i'naayaat-e-sitam meN kab kamee hai
:hamaaree taNg-daamaanee ke din haiN:

tamannaa, aarzoo, Hasrat, umeedeN
dilaa! yeh kaisee Hairaanee ke din haiN

wohee ham haiN, wohee weeraaniyaaN haiN
nah raat aasaaN, nah aasaanee ke din haiN

nah woh aaYe nah un kee yaad aayee
a'jab daur-e-pareshaanee ke din haiN

nah poochho Haal-e-dil, ham se nah poochho
Gham-e-dil kee faraawaanee ke din haiN

sunaa hai is t^araf woh aa rahe haiN
Ghazal-goyee, Ghazal-Khwaanee ke din haiN

machee hai dhoom :Urdu Anjuman: meN
suKhan-fehmee, suKhan-daanee ke din haiN

Ghazal kehte raho tum yooN hee :Sarwar:
KhayaaloN kee gul-afshaanee ke din haiN