Ghazals | غزلیں


English اردو


wohee Haal-e-dilfigaaraaN, wohee qaal-e-shab-guzaaraaN!
wohee Haal-e-dilfigaaraaN, wohee qaal-e-shab-guzaaraaN
:nah gayaa Khayaal-e-zulf-e-siyah-jafaa-shi,a'araaN: (Mir)

mujhe zeest ne diyaa kyaa, yehee fikr-o-dard-o-HirmaaN
milaa gar koyee Silah to, faqat^ ek yaad-e-yaaraaN

miraa gulshan-e-tamannaa, banaa dasht-e-naamuraadee
nah naseem-e-Subhgaahee, nah umeed-e-baad-o-baaraaN

mujhe kaasah-e-gadaayee, tujhe daulat-e-Khudaayee
yeh a'jeeb munSifee hai paye teerah-rozgaaraaN

hameN kyaa kamee hai saaqee! mai-e-naab-e-sarKhushee kee?
tiraa maikadah salaamat zahe-shauq-e-maigusaaraaN

yeh a'jeeb dostee hai, tiree dostee ke Sadqe
nah Khayaal-e-sogawaaraaN, nah Gham-e-jigar-figaaraaN

maiN hooN be-niyaaz-e-armaaN, mujhy koyee bhee nah chheRe
mujhe raas aa gayaa hai miraa jaZb-e-KhaaksaaraaN

nah junooN meN kuchh rakhaa hai, nah Khirad se kuchh hai HaaSil
yeh fareb-e-Khush-gumaanee, woh naSeeb-e-kam-a'yaaraaN

koyee kyaa bataaYe kyaa hai yeh mizaaj-e-Husn :Sarwar:
kabhee mausam-e-KhizaaN hai, kabhee mausam-e-bahaaraaN