Ghazals | غزلیں


English اردو


aah! pehlee see koyee baat kahaaN?
aah! pehlee see koyee baat kahaaN?
ab kahaaN din voh aur voh raat kahaaN?

zindagee, zindagee pukaar aaYe
zindagee ko magar cabaat kahaaN!

tum chale aa,o bin bulaaYe id`har
aise hote haiN Haadicaat kahaaN?

ho gayee shehr shehr rusvaayee
dekh` poNhchee kahaaN se baat kahaaN!

tujh` ko samjh`ooN keh Khud ko pehchaanooN?
aa gayee beech meN yeh baat kahaaN?

Doob kar Khud meN paa liyaa tujh` ko
ab mujh`e fikr-e-kaa,inaat kahaaN!

ho nah ho yeh nazar kaa dh`okaa hai
tum kahaaN aur iltifaat kahaaN!

shikva-e-zeest kyaa kareN :Sarwar:?
ranj-o-aalaam se najaat kahaaN?