Ghazals | غزلیں


English اردو


daaman-e-taar-taar yeh Sadqah hai nok-e-Khaar kaa
daaman-e-taar-taar yeh, Sadqah hai nok-e-Khaar kaa
shukr-e-Khudaa keh mujh se kuchh rabt^ to hai bahaar kaa!

tere maqaam-e-jabr se mere maqaam-e-Sabr ta
silsilah-e-aarzoo rahaa, deedah-e-ashkbaar kaa

qiSSah-e-dard keh gayaa leHz^ah-ba-leHz^ah, nau-ba-nau
"par bhee qafas se jo giraa bulbul-e-beqaraar kaa"

manzil-e-shauq mil gayee, kaar-e-junooN huwaa tamaam
i'shq ko raas aa gayaa, aaj faraaz daar kaa!

zeest kee saaree karwaTeN, pal meN simaT ke reh gayeeN
SadiyoN kaa tarjumaan thaa, lamHah woh intiz^aar kaa

Zikr-e-Habeeb ho chukaa, fikr-e-Khudaa kee Khair ho!
chaak rahaa wohee magar, daaman-e-taar-taar kaa!

soz-o-gudaaz-e-zindagee apnaa Khiraaj le gayaa
nauHah-kunaaN maiN reh gayaa hastee-e-kama'yaar kaa

Husn kee sar-balandiyaaN, i'shq kee pastiyoN se haiN
soz-e-KhizaaN se mo'tabar, saaz huwaa bahaar kaa

naam-e-Khudaa! koyee to hai, wajh-e-shikast-e-aarzoo
yooN hee to be-sabab naheeN, shikwah yeh rozgaar kaa?

naam-o-numood ek wahm, aur wujood ik Khayaal!
apne hee aa,eeneh meN hooN, a'ks maiN Husn-e-yaar kaa!

Harf-e-Ghalat^ thaa miT gayaa, apne hee haath mar gayaa
ab kyaa Khabar keh kyaa bane, "Sarwar"-e-sogawaar kaa!