Ghazals | غزلیں


English اردو


ilaahee ho gayaa kyaa aaKhir is zamaane ko
ilaahee! ho gayaa kyaa aaKhir is zamaane ko?
samajh rahaa hai kahaanee mire fasaane ko!

Khayaal-o-Khwaab kee bastee a'jeeb bastee hai
hazaar baar basaa,ee, magar miTaane ko!

dilaa,o yaad puraanee, dukhaa,o meraa dil
koyee to apnaa ho dil-bastagee jataane ko!

tiree talaash meN apnee hee raah bhool gayaa
Khudaa hee samjhe dil-e-zaar se diwaane ko

nah aarzoo, nah tamannaa, nah Hasrat-o-ummeed
mujhe jagah nah mile phir bhee sar chhupaane ko

gumaaN se aage jo baRh kar yaqeen tak poNhche
pataa chalaa keh tamaashe haiN sab dikhaane ko

maiN aur Ghair kaa reHm-o-karam? ma,a'aZ-Allah!
uThooN aur Khud hee jalaa DaalooN aashyaane ko

banaa banaa ke tamannaa miTaayee jaatee hai
kahaaN se laa,ooN jee "Sarwar" maiN muskuraane ko?