Ghazals | غزلیں


English اردو


kehne ko yooN to zindagee apnee Kharaab kee
kehne ko yooN to zindagee apnee Kharaab kee
lekin hai baat aur hee eHd-e-shabaab kee!

iz^haar-e-shauq par yeh nigaaheN i'taab kee?
"jo baat kee Khudaa kee qasam! laa-jawaab kee!"

yaaN jaan par banee hai muHabbat ke pher meN
aur aap ko paRee hai Hisaab-o-kitaab kee

kyaa poochhte ho u'mr-e-gurezaaN kee kaa,inaat
:do karwaTeN theeN a'alam-e-Ghaflat meN Khwaab kee:

ham roz-e-Hashr hoN ge jo maSroof-e-deed-e-yaar
furSat kise mile gee sawaal-o-jawaab kee?

dekhaa qareeb se to wahaaN aur raNg thaa
ta'reef sunte aaYe the ham aaN-janaab kee!

u'qbaa kee kaun fikr kare, mere i'shq ne
dunyaa Kharaab kee, miree dunyaa Kharaab kee!

GhairoN meN Khwaar hai to woh apnoN meN naa-muraad
kyaa poochhte ho "Sarwar"-e-i'zzat-ma,aab kee!