Ghazals | غزلیں


English اردو


ik Zaraa see der ko naz^roN meN aane ke liYe
ik Zaraa see der ko naz^roN meN aane ke liYe
tum ne "Sarwar" kis qadar iHsaaN zamaane ke liYe!

ik tamannaa, ek Hasrat,ik umeed, ik aarzoo!
hai agar kuchh to yehee hai sar chhupaane ke liYe

kaam kyaa aayaa dil-e-muZ^t^ar maqaam-e-zeest meN
ek dunyaa aa gayee baateN banaane ke liYe!

meree tanhaayee mire Gham kaa madaawaa ban gayee
raat maiN Khud se milaa sun,ne sunaane ke liYe!

waqt jaisaa bhee guZar jaaYe Ghaneemat jaaniYe
kyaa Khabar kal aaYe kaise aazmaane ke liYe?

baargaah-e-Husn meN hai a'ajizee me'raaj-e-shauq
sar jhukaanaa hai Z^arooree sar uThaane ke liYe

woh nigaah-e-sharmgeeN aur woh tabassum zer-e-lab!
ik sataane ke liYe, ik aazmaane ke liYe!

ahl-e-dunyaa ko koyee miltaa naheeN kyaa doosraa?
reh gayaa hooN maiN hee "Sarwar" yooN sataane ke liYe?