Ghazals | غزلیں


English اردو


aashnaa the pehle phir naa-aashnaa hote gaYe
aashnaa the Khud se, phir naa-aashnaa hote gaYe
ho bhalaa is i'shq kaa, ham kyaa se kyaa hote gaYe!

ashk-e-Gham behte rahe aur naqsh-e-paa hote gaYe
zindagee ke qarZ^ saare yooN adaa hote gaYe

naa-rasaayee kaa fasaanaa kyaa kaheN, kis se kaheN?
manzileN aayeeN to ham be-dast-o-paa hote gaYe

ittifaaqa" apnee Haalat par naz^ar jab jab paRee
ham nigaahoN meN Khud apnee be-ridaa hote gaYe

regzaar-e-aarzoo meN waqt woh ham par paRaa
raahzan chehre badal kar rehnumaa hote gaYe

ahl-e-dunyaa kee Zaraa dekho karam-farmaa,iyaaN
aaR meN eemaaN kee bande bhee Khudaa hote gaYe

i'shq kee be-taabiyoN kee laZZateN mat poochhiYe
naalah-haaYe aarzo Harf-e-du,a'a hote gaYe

yeh kaho "Sarwar"! tumhaaree inkisaaree kyaa huyee?
tum bhee dunyaa kee t^araH kyoN Khud-numaa hote gaYe?