Ghazals | غزلیں


English اردو


rah-e-wafaa meN Gham-e-judaayee kabh`ee miraa hamqadam nah hotaa
rah-e-wafaa meN Gham-e-judaayee kabh`ee miraa ham-qadam nah hotaa
tujh`e Khudaa kaa jo Khauf hotaa to Khwaar maiN Kham-bah-Kham nah hotaa

mujh`e sar-e-bazm-e-Ghair teree nigaah-e-kam-aashnaa ne maaraa
jo mujh` peh iHsaan yooN nah hotaa, tiraa yeh iHsaan kam nah hotaa

tumhaaree is bandagee ke Sadqeh miraa muqaddar u'rooj par hai
jo i'shq jalwah-kushaa nah hotaa to mil miraa jaam-e-Jam nah hotaa

buraa ho is zindagee kaa jis ne hameN kiyaa Khwaar a'ashiqee meN
"jo ham nah hote to dil nah hotaa, jo dil nah hotaa to Gham nah hotaa"

nigaah-e-lut^f-o-karam jo karte hamaaree jaanib bh`ee gaahe gaahe
to Hashr-e-ulfat meN ham ko shikwah kabh`ee tumhaaree qasam nah hotaa

kabh`ee to haNgaam-e-zindagee meN nigaah miltee, salaam hotaa
tujh`e bh`ee duniyaa kee daad miltee, mujh`e bh`ee marne kaa Gham nah hotaa

bh`alaa maiN is t^araH kyoN bh`aTaktaa fisaad-e-Husn-e-naz^ar ke haath`oN
agar tiree raah-e-justjoo meN fareb-e-dair-o-Haram nah hotaa

GhamoN ke haath`oN hee aaj "Sarwar" hai i'shq meN baa-muraad-e-manzil
sitam bah shakl-e-karam jo hotaa, karam bah shakl-e-sitam nah hotaa