Ghazals | غزلیں


English اردو


ham ne sab kuch` hee muHabbat meN tire naam kiyaa
ham ne sab kuch` hee muHabbat meN tire naam kiyaa
aur jo bach gayaa woh waqf-e-mai-o-jaam kiyaa

Khud ko jaise bh`ee huwaa Khoogar-e-aalaam kiyaa
faiSila is t^araH teraa dil-e-naakaam! kiyaa

shaam ko SubH kiyaa, SubH ko ph`ir shaam kiyaa
ham ne mar mar ke Gham-e-zeest kaa ikraam kiyaa

kab rahaa ek jagah gardish-e-dauraaN ko qiyaam
saaqee-e-waqt ko kis ne hai bh`alaa raam kiyaa?

ek lamHah bh`ee naheeN sajdah-e-Gham se Khaalee
kaise kaafir ne hameN bandah-e-Islam kiyaa

aap kaa paas-e-muHabbat koyee dekh`e to sahee
ham ko ruswaa kiyaa aur woh bh`ee sar-e-a'am kiyaa

aise be-faiZ^ th`e kuch` haath` nah aayaa apne
shikwah-e-dehr kiyaa, shikwah-e-aiyyaam kiyaa

raah gum-kardah huwe shehr-e-yaqeeN meN jis dam
:dil-e-deewaanah ko sar-gashtah-e-auhaam kiyaa:

bazm-e-eHbaab meN "Sarwar" yeh Ghazal laaYe ho?
aur is par yeh samajh`te ho baRaa kaam kiyaa!