Ghazals | غزلیں


English اردو


rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
hameN har raah teree reh-guzar ma'loom hotee hai

hameN yeh zindagee ik dard-e-sar ma'loom hotee hai
nah honaa chaahiYe aisaa magar ma'loom hotee hai

muSeebat meN ik aisaa waqt bh`ee aataa hai insaaN par
Zaraa see ch`aa,oN bh`ee apnaa hee gh`ar ma'loom hotee hai

nah ham badle, nah dil badlaa, nah raNg-e-a'ashiqee badlaa
magar badlee huyee teree naz^ar ma'loom hotee hai

kabh`ee tum bh`ee kisee se dil lagaa kar dekh`te SaaHeb!
Zaraa see choT bh`ee ik u'mr bh`ar ma'loom hotee hai

har aahaT par miree saaNsoN kee har lai jaag uThtee hai
shab-e-ummeed yaadoN kaa safar ma'loom hotee hai

hameN duniyaa bh`alaa kyaa raah se apnee lagaaYe gee
woh apne aap se hee beKhabar ma'loom hotee hai

tire she'roN peh itnee daad "Sarwar", saKht Hairat hai!
hameN yeh saazish-e-ahl-e-hunar ma'loom hotee hai