Ghazals | غزلیں


English اردو


zamaanah ek z^aalim hai kisee kaa ho naheeN saktaa
zamaanah ek z^aalim hai, kisee kaa ho naheeN saktaa
kisee kaa Zikr kyaa yeh Khud hee apnaa ho naheeN saktaa

yeh hai mo'jiz-numaayee us kee yaa hai Husn-e-z^an meraa?
"keh us kaa ho ke phir koyee kisee kaa ho naheeN saktaa"

naz^ar to ph`ir naz^ar hai, Dh`ooND le gee laakh` pardoN meN
ch`upo tum laakh` lekin Khud se pardah ho naheeN saktaa

maqaam-e-naaumeedee zeest kaa u'nwaan kyoN Thehre?
muHabbat meN jo tum chaaho to kyaa kyaa ho naheeN saktaa

udh`ar woh naaz keh :dekh`e haiN tum se laakh` deewaane!:
idh`ar yeh zo'm keh koyee bh`aa ham saa ho naheeN saktaa!

kahaaN yeh u'mr-e-do-rozah kahaaN duniyaa kee aawezish
huwaa ab tak magar ab yooN guzaaraa ho naheeN saktaa

muHabbat aur shai hai, dil-sitaanee aur hee shai hai
takalluf bar-t^araf! ab yeh gawaaraa ho naheeN saktaa

koyee achch`aa kahe "Sarwar" tujh`e yaa woh buraa jaane
naz^ar meN Khud kee jo hai us se achah`aa ho naheeN saktaa