Ghazals | غزلیں


English اردو


Khushaa-waqte keh wa'de kar ke tum ham se mukarte th`e
Khushaa-waqte keh wa'de kar ke tum ham se mukarte th`e
"yehee raateN th`eeN aur baateN th`eeN, woh din kyaa guzarte th`e"!

raheen-e-Sad-nigaah-e-shauq th`ee sab jalwah-aaraayee
naz^ar paRtee th`ee jitnee un peh woh utnaa nikh`arte th`e

qiyaamat-Khez woh manz^ar bh`ee in aaNkh`oN ne dekh`aa hai
qiyaamat haath` maltee th`ee jidh`ar se woh guzarte th`e

yehee hai jis kee chaahat meN rahe gumkardah-e-manz^il?
yehee duniyaa hai sab jis ke liYe me-maut marte th`e?

HiSaar-e-Zaat se baahar a'jab ik aur a'alam th`aa
tire jalwe simaTte th`e, tire jalwe bikh`arte th`e

anaa kee kirchiyaaN bikh`ree paRee th`eeN raah-e-aaKhir meN
yeh aa,eene to ham ne zindagee bh`ar Khoob barte th`e

hamaaree be-basee yeh hai keh ab haiN Khud se begaanah
kabh`ee woh din th`e apne aap par ham faKhr karte th`e

kisee ke Khauf-o-Gham kaa Zikr kyaa, haijaan-e-furqat meN
woh a'alam th`aa keh ham Khud apne hee saayeh se Darte th`e

huyee muddat keh ham haiN aur shaam-e-dard-e-tanhaayee
kahaaN haiN sab woh chaarahgar hamaaraa dam jo bh`arte th`e

Khudaa rakkh`e salaamat teraa jaZb-e-a'ashiqee "Sarwar"
sunaa hai woh bh`aree meHfil meN tujh` ko yaad karte th`e