Ghazals | غزلیں


English اردو


kyaa pooch`te ho mujh` se miree shorish-e-jazbaat?
kyaa pooch`te ho mujh` se miree shorish-e-jazbaat?
ik shehr-e-t^ilismaat hai, ik shehr-e-t^ilismaat!

kyoN aate naheeN aap yahaaN behr-e-mulaaqaat?
kehne ko to keh dooN, wale ch`oTee hai bohat baat!

tum shaad-e-muHabbat rahe, ham kushtah-e-aafaat
shaayad yehee kehlaatee hai dunyaa meiN masaavaat!

hai zeest kee, vallah!, a'jab Soorat-e-Haalaat
sab i'lm-o-yaqeeN ho gaye paabastah-e-shubhaat!

maiN bh`ee kisee dh`undh`le se taSavvur meN milooN gaa
yaad aayeN ge jab tum ko yeh guZre huYe lamHaat

voh vaqt paRaa hai k bh`alee dil ko lagee haiN
apnoN kee madaaraat se GhairoN kee shikaayaat!

paabandee-e-Gham, band-e-alam, sabr-o-taHammul
aadaab-e-muHabbat ke haiN kaise yeh maqaamaat!

:Sarwar: ko kahaaN Dh`hooNDte ho dair-o-Haram meN?
hogaa kisee mai-Khaane meN voh rind-e-Kharaabaat!