Ghazals | غزلیں


English اردو


Sarwar jigar ke daaGh nmaayaaN nah keejiYe!
"Sarwar"! jigar ke daaGh numaayaaN nah keejiYe
yooN keejiYe keh shikwah-e-jaanaaN nah keejiYe!

Hasrat, malaal, Khwaahish-o-armaaN nah keejiYe
yeh keejiYe to hosh kaa saamaaN nah keejiYe!

har roz roz-e-Hashr hai, har shaam shaam-e-Gham
itnaa to is Ghareeb par eHsaaN nah keejiYe!

aisaa nah ho keh ashk-e-nidaamat nikal paReN
is saa,a't-e-wiSaal ko arzaaN nah keejiYe

baRh` kar wuSool keejiYe zamaaneh se har Hisaab
yaa ph`ir shikaayat-e-Gham-e-dauraaN nah keejiYe!

dil ko saNbh`aal rakh`iYe, amaanat hai i'shq kee
luT jaaYe gar to ph`ir koyee armaaN nah keejiYe

maanind-e-boo-e-dost maiN apne wujood meN
hooN ik Khayaal, mujh` ko pareshaaN nah keejiYe!

ham bandagaan-e-i'shq haiN apnee micaal aap
ham se sawaal-o-pursish-e-i'SyaaN nah keejiYe

i'rfaan-e-i'shq aap hai i'rfaan-e-laa-ilaah!
is se ziyaadah kaawish-e-eemaaN nah keejiYe

"Sarwar" ko Khaamshee hee payaam-e-Hayaat hai
kuch` keh ke zindagee ko pashemaaN nah keejiYe