Ghazals | غزلیں


English اردو


Gham-e-zindagee tiraa shukriyah tire faiZ^ se hee yeh Haal hai
Gham-e-zindagee! tiraa shukriyah, tire faiZ^ hee se yeh Haal hai
wohee SubH-o-shaam kee uljh`aneN,wohee raat din kaa wabaal hai!

tiraa Gham hai HaaSil-e-zindagee, nah Ghalat^ samajh` mire ashk ko
tire Gham se jaan churaa,ooN maiN, kahaaN aisee meree majaal hai?

nah chaman meN boo-e-saman rahee, nah hee raNg-e-laalah-o-gul rahaa
too Khafaa Khafaa saa hai waaqa,e'e, keh yeh Sirf meraa Khayaal hai?

ise kaise jeenaa kaheN agar, gahe aah-e-dil, gahe ashk-e-shab
wohee raat din kee muSeebateN, wohee maah hai, wohee saal hai!

koyee kaash mujh` ko bataa sake, rah-o-rasm-e-i'shq kee uljh`aneN
too kahe to baat pateh kee hai, maiN kahooN to Khaam Khayaal hai!

maiN GhamoN se hooN yooN mut^ma,in, too buraa nah maane to yeh kahooN
tire Husn kaa naheeN faiZ^ kuch`, miree a'ashiqee kaa kamaal hai!

hai yeh aag kasiee lagee huyee, mire dil ko aaj huwaa hai kyaa?
jo hai Gham to hai Gham-e-aarzoo, agar hai to fikr-e-wiSaal hai!

zahe i'shq Ahmad-e-muStafaa, naheeN mujh` ko fikr-e-roz-e-jazaa
yehee aarzoo,oN kee deed hai, yehee zindagee kaa ma,aal hai

yeh tujh`e bataa keh huwaa hai kyaa, paye i'shq "Sarwar"-e-Ghamzadah?
nah woh mastiyaaN, nah woh shoKhiyaaN, nah woh Haal hai nah woh qaal hai!