Ghazals | غزلیں


English اردو


yaad bh`ee Khwaab huyee, yaad woh aate kyoN haiN?
yaad bh`ee Khwaab huyee, yaad voh aate kyoN haiN?
roz-o-shab ik nayaa afsaanah sunaate kyoN haiN?

roz mar mar ke bh`alaa yooN jiYe jaate kyoN haiN?
zindagee! ham tire iHsaan uTh`aate kyoN haiN?

sab ko ma'loom hai dunyaa kee Haqeeqat ph`ir bhee
qiSSah-e-dard zamaaneh ko sunaate kyoN haiN?

kaun samjh`aaYe, yeh samjh`aane kee baateN kab haiN?
kiss liye Khwaar huwe, hosh se jaate kyoN haiN!

raNj-o-aalaam kaa, rusvaayee-o-naa-kaamee kaa
log her baat kaa afsaanah banaate kyoN haiN?

us peh dunyaa kee yeh aNgusht-numaayee? tauabah!
poochiYe ham se keh yooN jaan se jaate kyoN haiN?

bandagee se hameN kab aap kee inkaar rahaa?
baat-be-baat ph`ir iHsaan jataate kyoN haiN?

i'shq to Th`eek hai lekin yeh Khayaanat :Sarwar:?
jaan jab apnee naheeN, jaan luTaate kyoN haiN?