Ghazals | غزلیں


English اردو


aablah-paa gh`oomtaa hooN waadee-e-bedaad meN
aablah-paa gh`oomtaa hooN vaadee-e-bedaad meN
dard kis ne rakh` diYaa hai i'shq kee roodaad meN?

jaan see ik paR gayee hai shikvah-e-Sayyaad meN
hai du,a'a kaa raNg shaamil naalah-o-faryaad meN!

voh mulaaqaateN! voh baateN! al-amaan-o-al-Hafeez!
haaN! magar hai baat hee kuch` aur teree yaad meN!

har giree deevaar meN dunyaa nayee aabaad hai
jh`aaNk kar to dekh`iYe mere dil-e-naashaad meN!

:chaaNd ko ch`oone kaa qiSSah, ph`ool pee lene kee baat!:
ek uljh`an aur niklee i'shq kee uftaad meN!

dekh`iYe to ahl-e-dunyaa kee karam-farmaa,iyaaN!
chand patth`ar aaYe haiN meree Ghazal kee daad meN!

yeh tamaashah-gaah-e-hastee! yeh hujoom-e-aarzoo!
shor ik barpaa hai kaisaa shehr-e-be-bunyaad meN?

kyaa kisee se kam hai :Sarwar: apnee roodaad-e-alam?
baat aisee kaun see hai Qais aur Farhaad meN?