Ghazals | غزلیں


English اردو


raNg-o-Khushboo, shabaab-o-ra'naayee
raNg-o-Khushboo, shabaab-o-ra'naayee
ho gayee aap se shanaasaayee!

ho to kis kis kee ho paZeeraayee
naaz, andaaz, Husn, zebaayee!

SubH majboor, shaam ko meHroom
bekasee laayee to kahaaN laayee!

log jis ko bahaar kehte haiN
woh kisee shoKh kee hai aNgRaayee!

ham bh`ee majboor, aap bh`ee majboor
aah! duniyaa kee kaar-farmaayee

daman-e-Sabr chh`ooT chh`ooT gayaa
choT woh dil ne i'shq meN khaayee

Khastagaan-e-qafas ko kyaa mat^lab
kab gayee aur kab bahaar aayee

paas-e-Gham, paas-e-dard, paas-e-wafaa
gar nah hote to hotee ruwaayee

Khud-shanaasee, Khudaa-shaanaasee hai
baat meree samajh` meN ab aayee!

aaj tak raaz-e-zindagee nah kh`ulaa
ham tamaashah haiN yaa tamaashaayee?

baat be baat aaNkh` bh`ar aanaa
yeh bh`ee hai Soorat-e-shakebaayee

un se ummeed-e-dostee "Sarwar"?
aap kyaa ho gaYe haiN saudaayee?