Ghazals | غزلیں


English اردو


nah maiN SubH kaa, nah maiN shaam kaa, nah zameeN kaa hooN, nah zamaaN kaa hooN
nah maiN SubH kaa, nah maiN shaam kaa, nah zameeN kaa hooN nah zamaaN kaa hooN
koyee yeh bataa de mujh`e Zaraa keh maiN hooN agar to kahaaN kaa hooN?

maiN qateel-e-fikr-o-Khayaal hooN, maiN aseer-e-Khauf-e-ma,aal hooN
maiN hee Said hooN, maiN hee jaal hooN, nah yaqeeN kaa hooN, nah gumaaN kaa hooN!

nah to koyee meraa wujood hai, nah hee koyee meraa shuhood hai
maiN micaal-e-saayah-e-dood hooN, nah yahaaN kaa hooN, nah wahaaN kaa hooN!

nah nishaan hai koyee raah kaa, nah hee sang-e-meel kaa hai pataa
mujh`e koyee dekh`e to kyoN bh`alaa, maiN Ghubaar u'mr-e-rawaaN kaa hooN!

nah makaaN miraa, nah makeeN mire, nah hee yeh zamaan-e-zameeN mire
mujh`e Khud hee apnaa pataa naheeN, to maiN kaise kaun-e-makaaN kaa hooN?

nah suboo miraa, nah hee Khum miraa, nah hai mai miree, nah hee jaam-e-mai
miree tishnagee! miree tishnagee! maiN raheen peer-e-muGhaaN kaa hooN!

nah aZaaN hooN masjid-e-Husn kee, nah jaras hooN Sauma'-e-i'shq kee
mujh`e sun ke koyee kare gaa kyaa keh maiN karb zaKhm-e-nihaaN kaa hooN!

nah maiN qeel kaa, nah maiN qaal kaa, nah maiN hijr kaa, nah wiSaal kaa
maiN hooN a'ks apne Khayaal kaa, maiN fareb apnee hee jaaN kaa hooN!

nah hee naz^m hooN, nah Ghazal hooN maiN, nah hee daad-e-bazm-e-Hayaat hooN
nah naqeeb she'r-e-maleeH kaa, nah maZaaq Husn-e-bayaaN kaa hooN!

hamah be-daleel miraa safar, hamah be-Kharosh miraa HaZ^ar
hamah be-nishaaN, hamah be-hadaf, maiN woh teer TooTee kamaaN kaa hooN!