Ghazals | غزلیں


English اردو


woh is t^araH se taSawwur meN be-Hijaab huwe
kuch` is t^araH woh taSawwur meN be-Hijaab huwe
tamaam a'alam-e-hijraaN Khayaal-o-Khwaab huwe!

Khud apne haath`oN sar-e-bazm be-niqaab huwe
ham aap apne sawaalaat kaa jawaab huwe!

tamaashah-e-ram-e-hastee faqat^ fasaanah th`aa
HuZ^oor-e-koo-e-Khudee ham jo baaryaab huwe

dareedah band-e-jigar, taar taar daaman-e-dil
huwe to i'shq meN is t^araH se Kharaab huwe

suboo-e-Husn-e-taKhaiyyul ch`alak ch`alak uTTh`aa
Hareem-e-shauq meN ham jab bh`ee baaryaab huwe

hameN anaa ne dikh`aayee kuch` aisee raah keh bas!
jo Khud ko sochaa to ham Khoob aab-aab huwe!

ham aise kab th`e keh aazaad-e-aarzoo rehte
Gham-e-Hayaat huwe aur be-Hisaab huwe

shikastah-Haal-o-pareeshaaN to yooN bh`ee th`e "Sarwar"
tumhaare Zikr se kuch` aur bh`ee Kharaab huwe!