Ghazals | غزلیں


English اردو


aa bh`ee jaa keh is dil kee shaam hone waalee hai
aa bh^ee jaa keh is dil kee shaam hone waalee hai!
din to kaT gayaa jooN-tooN, raat ab sawaalee hai!

ik nigaah ke badle jaan bech Daalee hai
i'shq karne waaloN kee har adaa niraalee hai!

Harf-e-aarzoo lab par aaYe bh`ee to kyaa aaYe
naa-bakaar yeh dunyaa, kis kee sun,ne waalee hai?

koyee kyaa kare takiyah doosroN kee dunyaa par
ham ne Khud hee ik dunyaa Khwaab meN basaa lee hai

aab-aab aa,eenah, Khwaab-Khwaab ummeedeN!
roo-e-zindigaanee kaa a'ks bh`ee Khayaalee hai!

fikr-o-fan kee dunyaa par waqt kaisaa aayaa hai!
fan hai be-sutooN yaaro! fikr laa-ubaalee hai

koyee kyaa kare shikwah waqt kee Khudaayee kaa?
bazm-e-mai huyee weeraaN aur jaam Khaalee hai

i'shq se bataa :Sarwar: kyaa milaa tujh^e aaKhir?
too ne yeh muSeebat kyoN apne sar lagaa lee hai?