Ghazals | غزلیں


English اردو


agar mujh` ko na kuch` idraak Husn-e-yaar kaa hotaa
agar mujh` ko na kuch` idraak Husn-e-yaar kaa hotaa
to ph`ir apnee Haqeeqat se maiN kyoN kar aashnaa hotaa?

Khudaa jaane! rah-e-ulfat meN yooN hotaa to kyaa hotaa?
keh aaNkh`eN band hoteeN aur teraa saamnaa hotaa!

Khudaa rakkh`e hamaaree laZZat-e-aazaar ko qaa,em
yeh dil aavaarah-e-ulfat nah hotaa gar to kyaa hotaa?

dikh`aataa kyoN bhalaa maiN daaGh-haa-e-Gham zamaaneh ko?
agar teree muHabbat kaa mujh`e kuch` aasraa hotaa!

yeh kyaa andaaz-e-diljooyee hai, kaisee rasm-e-ulfat hai?
nah sunte baat meree aap, Khud to kuch` kahaa hotaa!

mujh`e shaam-o-saHar gar aashnaa-e-dard honaa th`aa
miraa dil bh`ee Khudaayaa! saaree duniyaa se judaa hotaa!

a'jab kyaa gar muHabbat ko samajh`taa manzil-e-aaKhir
yehee dard-e-muHabbat aap apnee hee davaa hotaa!

Khudaa lagtee kaho tum, kis taraH mumkin hai keh :Sarwar:
muHabbat-aashnaa ho kar Khudaa-naa-aashnaa hotaa?