Ghazals | غزلیں


English اردو


kisee kee justjoo hai aur maiN hooN
kisee kee justjoo hai aur maiN hooN
Hijaab-e-raNg-o-boo hai aur maiN hooN!

nigaah-e-sharmgeeN hai aur too hai
bayaan-e-aarzoo hai aur maiN hooN!

Khudaayaa! be-niyaaz-e-aarzoo kar
yehee ik aarzoo hai aur maiN hooN!

tumheN mai-Khaanah-e-hastee mubaarak!
miraa TooTaa suboo hai aur maiN hooN

Khud-aagaahee mujh`e yooN raas aayee
Khudaa se guftgoo hai aur maiN hooN!

mujh`e dair-o-Haram se waast^ah kyaa?
t^awaaf-e-koo-ba-koo hai aur maiN hooN

mataa,e'-zindagee th`oRee hai meree
yehee ik aabroo hai aur maiN hooN

vafaa-naa-aashnaa teree naz^ar hai
dil-e-aashuftah-Khoo hai aur maiN hooN

voh manz^ar, manz^ar-e-Husn-o-muHabbat
vohee bas chaar-soo hai aur maiN hooN

mujh`e fikr-e-do-a'alam kyoN ho :Sarwar:?
woh mere roo-baroo hai aur maiN hooN!