Ghazals | غزلیں


English اردو


SubH naheeN hai, shaam naheeN hai! **
SubH naheeN hai, shaam naheeN hai!
dil ko kyoN aaraam naheeN hai?

shaam-o-saHar yeh ronaa ai dil!
aur koyee kyaa kaam naheeN hai?

mujh` ko tujh` se shikwah? taubah!
kufr hai yeh Islaam naheeN hai

zaKhm-e-wafaa, aafaat-e-muHabbat!
yeh tuHfah be-daam naheeN hai

un kee naz^reN aisee badleeN
mai woh naheeN, woh jaam naheeN hai!

baat koyee hai warnah kyoN ab
pehlaa saa ikraam naheeN hai?

qaid-e-muHabbat, Allah, Allah!
sehl koyee yeh kaam naheeN hai!

apnee karnee sab bh`arte haiN
Ghair kaa bh`arnaa a'am naheeN hai

dunyaa-daaree, dunyaa saazee!
apnaa to yeh kaam naheeN hai!

"Sarwar"! too ne kuch` to kiyaa hai
yooN hee to badnaam naheeN hai!