Ghazals | غزلیں


English اردو


dayaar-e-jaur meN dil haar, jaan waar aaYe **
dayaar-e-jaur meN dil haar, jaan waar aaYe
Khushaa! keh qarZ^-e-wafaa aaj ham utaar aaYe!

umeed le ke gaYe, kh`o ke e'tibaar aaYe
rahee sahee th`ee jo pooNjee woh aaj haar aaYe!

maiN ho chalaa hooN hawaa-e-KhizaaN se aasoodah
miree balaa se gulistaaN meN ph`ir bahaar aaYe

:qaraar luT gayaa jis jaa wahaaN kaa Zikr karo
a'jab naheeN yooN hee shaayad mujh`e qaraar aaYe:!

unheN yeh Z^id keh kabh`ee koyee aarzoo nah kare
woh kyaa kare jise har aarzoo pah pyaar aaYe?

woh yaad aaYe kyoN, yeh yaad to naheeN lekin
woh yaad aaYe bohat aur baar baar aaYe!

unheN Khabar bh`ee naheeN aur un kee meHfil meN
hazaar baar gaYe ham, hazaar baar aaYe!

yeh kyaa keh ahl-e-wafaa shehr-e-aarzoo kee t^araf
diwaanah-waar gaYe aur be-qaraar aaYe?

jo tere Gham meN kaTe, teree yaad meN guZre
bataa keh aisee shab-e-Gham pah kyoN nah pyaar aaYe?

tire mizaaj meN "Sarwar"! zamaanah-saazee hai!
tiree wafaa kaa bh`alaa kaise e'tibaar aaYe?