Ghazals | غزلیں


English اردو


dh`uwaaN saa uTh`taa hai ph`ir aaj aashyaane se **
dh`uwaaN saa uTh`taa hai ph`ir aaj aashyaane se
Khudaa bachaaYe muHabbat ke kaarKhaane se!

kh`ulaa yeh raaz muHabbat meN jee jalaane se
judaa naheeN tiraa qiSSah mire fasaane se

guZar kabh`ee to muHabbat ke imtiHaaN se guZar
mile jo waqt tujh`e mujh` ko aazmaane se

bikh`ar gayaa hai Gham-e-i'shq se wujood miraa
sukoon mujh` ko milaa bh`ee to kis bahaane se!

nah raNg woh, nah hee woh taazagee, nah woh Khushoo
miree seHar ko huwaa kyaa ik us ke jaane se?

wohee hai dil, wohee ik aarzoo, wohee Gham hai
nah jaane ph`ir mujh`e shikwah hai kyoN zamaane se!

maiN daad-e-shehr-e-sitam dooN agar to kaise dooN?
sitam naYe sahee, Heele haiN sab puraane se!

nigaah-e-jaur sahee, chashm-e-raNg-o-boo nah sahee
naz^ar uTh`ee to hai us kee kisee bahaane se!

:Khat^aa mu,a'af! muHabbat naheeN Khat^aa koyee:
chalaa huwaa hai yeh dastoor ik zamaane se

quSoor Sirf yeh dunyaa kaa hee naheeN "Sarwar"
keh aap bh`ee hameN lagte haiN kuch` diwaane se!